Taqdeer ne jaise chaha dhal gaye hum,
bahut sambhal ke chale fir bhi fisal gaye hum,
hum to kisi ko bhula na sake,
fir bhi sabko laga ki badal gaye hum.
Apno ki inayat kabhi khatm nahi hoti,
risto ki mehak durion se kum nahi hoti,
jeevan me agar sath ho sache risto ka,
to zindgi jannat se kum nahi hoti.
Sara Jaha Hai Uska Jo Muskurana Sikh Le.
Roshni Hai Uski Jo Shama Jalana Sikh Le.
Har Gali Mein Mandir,
Har Raah Mein Maszid Hai.
Par Ishwar Hai Uska Jo Sir Jhukana Sikh le.
Sans tham jati hai par jaan nahi jati..
Dard hota hai par awaz nahi aati..
Ajib log hai is zamane mein..
Hum bhul nahi pate aur kisi ko yaad bhi nhi aati.
Toote khowab ko fir sajana ata hai,
roothe dil ko bhi manana aata hai,
aap hamare gum ko dekh kar pareshan mat hona,
kyu ki hame dard me bhi muskurana ata hai.
Har zakhm kisi thokar ki meharbani hai,
Meri zindgi ek dard bhari kahani hai.
Mita dete is dard ko sine se,
Magar kambakht ye dard hi to unki aakhri nishani hai.
Wo silsile wo shauk wo gurbat na rahi.
Fir yu hua ke dard me shiddat na rahi.
Apni zindgi me ho gye masroof wo itna.
Ki hum ko yaad karne ki fursat na rahi.
Aankhein To Pyar Mein Dil Ki Zuban Hoti Hai
Sachi Chahat To Bezubaan Hoti Hai
Pyar mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana
Dardse Hi To Chahat Jawan Hoti Hai...
Dard Hota hai Magar Shikwa nahi karte
Kon kehta hai Hum Wafa nahi Karte
Aakhir Q nahi Badalti Taqdir Meri
Kya Mere Chahne Wale Mere Liye DUA Nahi Karte?
Dooriyan bahut hain par itna samajh lo,
Paas rehkar hi koi rishta khaas nhi hota,
Tum dil ke pas itne ho, ki dur rehkar bhi
Humein dooriyoon ka ehsaas nhi hota..!!
Rab ne maa ko ye azamt kamal di.
Uski dua per musibat bhi tal di.
Upar wale ne ma ke pyar ki kuch is tarah missal di.
Ki Jannat utha ke Ma ke kadmo me daal di.
Hum jab bhi aapki duniya se jayenge.
Itni khushiya or apnapan de jayenge.
Ki jab bhi yaad karoge iss pagal dost ko.
Hasti ankho se bhi aansu nikal ayenge.