Jeene k liye tera armaan hi kafi hai, Dil k qalam se likhi ye dastan hi kafi hai Teer ki kia zaroorat hai janam, Qatal karne k liye teri muskan hi kafi hai
Apni bebasi per rona aaya hai. Dusro se kya sikwa karu, Maine apno ko aajmaya hai. Her kisi ki tanhai door ki maine, Lakin her mod pe khud ko tanha paya hai.
2 haath na hon to dosti nahi hoti, 2 harf na hon to lafz nahi bantay 2 dimagh na hon to samjhota nahi hota, 2 phool na hon to guldasta nahi banta 2 dil na hon to hamara ye pyar na banta
Subah se saam tak uska ehsas rahta hai. Wo her pal mere sath mere dil me rahta hai. Kaise na yaad aaye wo muze etna, Wo dharkan banker dil me mere dhadkta rahta hai.
Rooh jab isqe k halaat se ghabrati hai. Zindgi banke teri yaad chali aati hai. Etna kismat b na kare kisi ko paresa, Kabhi rota hu tau kabhi khud per hansi aati hai.
Hum kabhi tumse khafa ho nahi sakte. Dosti k riste kabhi bewafa ho nahi sakte. Tum chaho agar hume bhulaker so nahi sakte, Hum tumko yaad kiye bina so nahi sakte.
Tu her pal kisi k dil k pass hai, Kiya tuje is baat ka ehsaas hai Agar nahi to ek baar us k dil k pass aa kar dekh lay, Wo dil tere bina kitna udaas hai
Rishtay jo pyar ke thay sabhi choot-tay gaye… Bandhan bhi saaray zabt ke phir toot-tay gaye… Khawab-o-khayal ban gayen yaaron ki mehfilen… Ek ek kar ke yaar sabhi rooth-tay gaye…
Sab dard dil main bhar liye sukh ki talash main… Hamdard ban ke log hamain loot-tay gaye… Milti rahin sazayen hamain pyar ke aiwaz… Apni hi Khawahishon ka gala ghont-tay gaye…
Dil jeet lein wo hunar ham bhi rakhtay hain, Katl karday wo nazar ham bhi rakhtay hain wada kiya hai kisi se muskuranay ka, Warna aankhon main samandar ham bhi rakhtay hain
Utra hai mere dil me koyi chand nagar se Ab Khauff nahi koyi andhero ke safar se Wo baat hai tumme ke koyi tum sa nahi hai Ke kaash koyi dekhe tumhe meri nazar se!
Zehen main teri yadon k siwa kuch bhi nahi, Dil main guzri baton k siwa kuch bhi nahi Too jahan bhi rahe dost khush rahay, Mere lub pe duaon k siwa kuch bhi nahi
Is dil-e-hasti ko us se pyar hai buhut, magar wo shaks b fankar hai buhut na mile to milne ki justujoo bhi nahi karta, aur milta yun hai k jaisay hamara talabgar hai buhut.
Bichartay hoye apni yad de jayengay, Khud sonay se pehle tumko ek khwab de jayengay Tumhe gila hai k hum jawab nahi detay, Sanson k rukne se pehle her jawab de jayengay
Chupkay se ye chand ki roshni choo jaye apko, Dheeray se ye hawa choo jaye apko Dilse jo chahtay ho maang lo Khuda se, Hum dua karte hain mil jaye wo apko
Kisi ki yaad sataye to kya kare. Kisi se milne ko dil chahe tau kya kare. Log kahte hai nindo me hoti hai mulakat, Kisi ki yaad me nind na aaye to kya kare
Dil main intizar ki lakeer chorh jayengay, Ankhon main yadon ki nami chorh jayengay Dhoondte phiro gay hamain ek din, Zindagi main aisi kami chorh jayengay