Hansi hoton se gayi hansa sakta hai kon, Need ankhon se gayi sula sakta hai kon. Jab ag lagjati hai gharon mai to log pani se bhuja lete hain, Lekin dil ki lagi aag bhujha sakta hai kon.
Arthi meri uth rahi thi mere ashiyane se,fir bhi taklif thi unko bahar aane me,bewafa ne ghar me bethe bethe hi pucha ki,aur kitani der baki he ise jalane me??
Ek baar jo gale lag ke rone diya hota,Hamne bhi koi pal mohabbat ka ji liya hota,toot ke bikher jate aapke kadmo m,aapki sanso ne mera nam to liya hota
BAAT-BAAT PE JO YU ROOTH JATE HAIN HATH UNSE ANJANE ME CHOOT JATE HAIN KOI UNSE KAHE K BADA NAZUK HAI PYAR KA RISHTA HANSTE -HANSTE BHI DIL TOOT JATE HAIN
Khushion Ki Aarzoo Mein Mukaddar Hi So Gye Andhi Chali Aesi Ke Chahne Wale He Kho Gye Apne Bhi Mile The Kuch Iss Andaz Se Humdard Bn Ke Aye Aur Kante Chubo Gye
mere khabo ka har ek naksh mita de koi. sukhe patto ka bacha dher jala de koi. meri pechan ka ek shaksh isi shehar me hai mai bhi jinda hu zara use bata de koi.......
Pyaar ka jahaan basaya tha humne... Dil ne dokha de diya. Sapno ka aashiyaana banaya tha humne... Kisine bewafai ke pathar se tod diya. Dard aisa hua k aasmaan ro padaa... Ab Humne pyaar ka astitva hi mita diya.
Mera kya hai ek roz jahan se rukhsat ho jaunga,Mere baad na aankho se moti bahana tum.Tere bina jinda laash hun mujhe koi ehsaas nahi,Chhukar mere jism ko koi nayi aas na jaganaa tum.
Dil Ko Har Waqt Tasalli Dena Hota Hai. Dard Hota Hai Na Jane Kahaan Hota Hai. Aap Kyun Puchte Ho Is Dard Ki Haalat. Hum Kya Batayen Ki Ye Dard Kahaan Hota Hai.
her pal gamo ki yaad me jalti hai zindgi. bas mom ki tarah pighalti hai zindgi. kya raaz hai ye isqh hua hai jab se, barbadiyo ki raah pe bas chalti hai zindgi.
Naam likh k us ne mera mitaya hoga, So bar usko meri yaadon ne rulaya hoga, Us k chehre pe mera naam likha hai yaro, Us ne kis kis se mera naam chupaya hoga.
mat zikar karo apni ada key barey mein. hum bohat kuch jantey hein wafa key barey mein. suna hai wo bhe mohabat ka shoq rakhney lagey hein. jo jantey he nahin wafa key barey mein.
Ek Awara Kiran Bhatakti Nazar Ayi Thi Jahan Sunte Hai Us Mukam Se Dariya Kareeb Tha Jaise Hi Fasal-E-Gul M Humare Kadm Pade Gulshn Ujjd Gya Yh Humara Naseeb Tha
Dhoondhte Ho Kia In Aankho Mein Kahani Meri Khud Mein Gumm Rehna To Aadat Hai Purani Mer iBheer Mein B Tumhe Mil Jaonga Aasani Se Khoye-2 Rehna Hai Nishani Meri
Dil Ke Sager Main Tammannao Ki, Kashti Hamne Kai Bar Utaari Hai, Kabhi Habeeb Nahi Milte Kabhi, Rakeeb Mil Jaate Hai, Talash Toh Ham Sahil Ki Karte Hai, Toofano Se Hamare Naseeb Mil Jaate Hai.
Ab Hum Kisi Ki Bhi Tamannaa Na Karenge, Ab Raah Bhi Kisi Ki Dekha Na Karenge,Mere Dard Se Vaakif Na Ho Jaye Mera Saya,Ab Is Andhere Dil Mein Ujaala Na Karenge,Aakhen Jali, Rooh Jali, Dil Jla, Jism Jla, Deeya Umeed Ka Palkon Par Jalaaya Na Karenge.
Sookhe Darakhton Pe Bhi Parinde Hote Hain, Ham Sayadar Hain Par Akele Hote Hain, Chaahat Pana To Mukaddron Ka Khel Hai, Hum To Khaabon Mein Bhi Akele Hote Hain.
Naddan Hai Voh, Hairan Hai Voh, Khud Apne Hi Sawalon Se, Pareshaan Hai Voh, Kya Bataun Unhe, Ki Pyar Kya Hota Hai, Abhi Sacchi Mohabbat Se, Anjaan Hai Voh.
Yun Toh Sadmo Me Bhi Has Lete The Hum, Aaj Kyun Bewajah Rone Lage Hai Hum, Barso Se Hatheliya Khali Hi Rahi Meri, Phir Aaj Kyu Laga Ki Sab Khone Lage Hai Hum..
Tum Idher Rukhsat Hue Jaan Idhar Nikli Meri Kaise Kaise Hadse Sadgi Se Ho Gye Kuch Hame Bhi Maut Ki Aarzu Thi Ishq Mein Raste Kuch Aasan Teri Be-Rukhi Se Ho Gye