Ek larki chali ja rahi thi. Ek larkay ne awaz di o deewani sun tera dupata zameen say ghaseeta jar aha hai. Larki boli o deewanay tu kia janay? Ye bhi apna farz nibha raha hay koi choom na lay meray qadmoo ki mitti ko isi liye nishaan mitata ja raha hai.
Chaho tum jise chahat se zyada,
Sapne dekho tum jiske nind se jyada ,
Mango tum jise mannat se jayada ,
Khuda kare wo bhi tumhe pyaar kare
Apni sanso se zyada
Mann hi sab kuch hai
Tann kuch bhi nahin
Mann hi sab kuch hai
Tann kuch bhi nahin
Aasmano mein so jayega
Dastano mein kho jayega
Tann kisi roz ban kar dhua
In havavo ka ho jayega
Kyo Har Bar Mausam Ki Tarah Badal Jate Ho
Har Naye Din Hamara Dil Dukhta Hai,
Ye Bat Sunkar Hamari Rooh Tak Kaamp Gayi,
K Aap Bartan Dhone Wale Sabun Se Nahate Ho..
Khojoge toh har manjil ki raah mil jati hai.
Sochoge toh har baatki wajah mil jati hai.
Zindgi itni majboor bhi nahi...;
Ae Dost...!
Jigar se jiyo,
"Maut b jeene ki adaa ban jati hai...!"
Ilm-o-fun ke diwane ashiqi se darte hain,
Zindagi ke khawahan hain zindagi se darte hai.
Jab na hosh tha humko to DUSHMANI se darte the,
Ab jo hosh aaya hai to DOSTI se darte hain.
Phool bhi hansta hai to dil dharakne lagta hai,
Jahan khushi pe marte the ab khushi se darte hain.
Rahne de aasman ko zamin ki takash kar,
sab kuch yanhi hai na kahin aur talash kar.
har arzu puri ho to jine ka kya maza,
jine k liye ek kami ki talash kar
Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai,
Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai,
Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai.
Kagaz ki kasti thi, Paani ka kinara tha Khelne ki masti thi, Dil ye aawara tha, Kahan aa gaye is samajhdari k daldal me, Wo nadan bachpan hi kitna pyara tha!
unka Ashiyana dil mein basa rakha hai,unki yadon ko seene se laga rakha hai, pata nahi yad ate hain tum hi kyun, Waise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai
Itni si baat hawao ko bataye rakhna,
roshni hogi chirago ko jalaye rakhna,
Lahu dekar ki hai jiski ifazat hamne,
aise tirange ko sada apne dil me basaye rakhna…