karam karo ya sitam karo hum gila nahi karte, fiza me yaqeenan phool khila nahi karte, mila do khak me hum ko magar khayal rahe hum jaise log dobara mila nahi karte......
Taqdeer ne jaise chaha dhal gaye hum, bahut sambhal ke chale fir bhi fisal gaye hum, hum to kisi ko bhula na sake, fir bhi sabko laga ki badal gaye hum.
Chaahe Jise Tu Zindagi Mei Wo Tujhko Mil Jaaye Koi Gam Koi Museebat Tujhe Na Kabhi Sataaye Khushiyan Bahaar Bankar Tere Gulsan Ko Mehkaaye Har Taraf Yaara Teri Shoharat Yuhi Badti Chali Jaaye…
phoolon ki yaad aati hai kaanto ko chune par, rishto ki samajh aati hai faaslo pe rehne par, kuch jazbaat aise bhi hote hai jo ankhon me padhe nahin jaate, woh toh nazar aate hai zubaan se kehne par…..
Koi kare apko yaad to use yaad kijiye. Dil ka paigam de to kabul kijiye. Har sms ka jawab dena jaruri nahi. Magar hamne apko yaad kiya Uska jawab to dijiye
Rishte to ruksat ho hi jate hai, Par kuch yaado ke daayere ban jate hai, Bhool jana to insan ki fitrat hai, Dekhte hai aap hum Kab tak yaad rakh paate hai..
kal na jane wqt ka kya faisala hoga, hum me se na jane kaun kaha hoga, phir milna hua to milenge khawabon main, jaise sukhe gulab milte hain kitabon main...
Kagaz par hamne zindgi likh di, Aankhon se seench kar khushi likh di, Dil ka dard jab bhi hum laaye lafzon pe, Zamane ne kaha dost wah kya ghazal likh di
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha. Ankho me rahe dil me utarkar nahi dekha. Patthar samjhte hai mere chahne wale mujhe. Par mom hu main kisi ne chu kar nahi dekha.
Kabhi Maa Ko Na Dekhu To Chain Nahi Aata Hai, Dil Na Jane Kyu Maa Ka Naam Sochte Hi Behel Jata Hai, Kabhi Muskra De To Lagta Hai Zindgi Mil Gayi Mujhko Nayi, Kabhi Dukhi Ho To Dil Mera Bhi Dukhi Ho Jata Ha.......
Kisi k Dhadkte Dil k pichhe koi baat hote hai, Kisi k udas Dil k piche koi yaad hoti hai, Aap ko pata ho ya na ho, aap k khushi k liye kahin roz fariyad hoti hai.
Gham nahi wahan jahan ho fasana aapka Khushi bhi dhundhti hai har pal fasana aapka, Aap udaas na hona kabhi zindagi mai, Bohot achha lagta hai hame muskurana aapka…!
Wo Bhi Din They Jab Hum Bhi Piya Karte They, Yun Na Karo Hamse Piney Pilaney Ki Baat, Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab, Utni Hum Paimaney Mein Chod Diya Kartey They…
Apne saaye se bhi ashkon ko chupa kar rona Jab bhi rona to chiragon ko bujha kar rona Jahan chot khana wahan muskurana Magar is ada se ke roye sara zamana…
Kuch lamhe aaye zindgi me kuch lamho k liye Aj bhi tarste hai hum un lamho k liye Khuda ne humse kaha kuch manglo Hamne kaha wo lamhe fir dedo kuch lamho k liye