Phul ki tarah haste raho to hum khush hai.
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,
ye nahi kehte ki roj milo,
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai…
Iss Rah e Mohabbat Ki Tum Baat Na Pocho, Kis Tarha Guzarte Hai Din Raat Na Pocho, Anmol Jo Insaan Hai Bemool Bikte Hai, Duniya Ke Iss Bazar Ki Tum Baat Na Pocho.
Sab Honge Yaha Magar Hum Na Honge, Humare Na Hone Se Log Kam Na Honge, Aise To Bahut Milenge Pyar Karne Wale, Hum Jaise Bhi Milenge Magar Wo Hum Na Honge
Rab ne maa ko ye azamt kamal di. Uski dua per musibat bhi tal di. Upar wale ne ma ke pyar ki kuch is tarah missal di. Ki Jannat utha ke Ma ke kadmo me daal di.
Na Hua Jo Chaaha Tha, So Hua Jo Hona Tha, Hanse Hain Jab Hasana Tha, Royein Hain Jo Rona Tha, Khud Ko Kho Diya Hamane, Khawaishon Ki Hasarat Mein, Khoob Tha Pata Hamko, Hashr Jo Bhi Hona Tha.
Insaan ko khud ki pahchan nahi hoti hai, hoti h jisko pahchaan uske liye raah asaan nahi hoti, khte hai log khud ko pahchanna sikho, jab ki kahne walo ko khud apni pahchan nahi hoti h.
Nice lines....Gira Hua pani Bhra Ni jata, Mrne wale k piche Mara Ni jata, Koshis kro kbi kisika VISHVAS Na Tute Qki Tuta Hua VISHVAS Kbi joda Ni jata....
kitni pi kaise kati raat mujhe hosh nahi, raat ke sath gayi baat mujhe hosh nahi. ansuon aur sharabo mein guzar hai ab to, maine kab dekhi thi barsaat mujhe hosh nahi