Baithe baithe zindagi barbaad na kijiye,
Zindagi milti hai kuch kar dikhane ke liye,
Roke agar aasmaan hamare raaste ko,
To tyaar ho jaayo aasmaan jhukaane ke liye.
Paas aakar sabhi door chale jaate hain,
Akele the hum, akele hi reh jaate hain,
Is dil ka dard dikhayen kise,
Marham lagaane wale hi zakham de jaate hain.
Pathar ki duniya jazbaat nahi samjhati,
Dil mein kya hai wo baat nahi samjhati,
Tanha to chaand bhi hai sitaron ke beech,
Par chaand ka dard wo raat nahi samjhati.
Zindagi har haal mein dhalti hai,
Jaise ret muthi se fisalti hai,
Gile shikwe kitne bhi ho,
Har haal mein hanste rehna,
Kyunki zindagi thokron se hi sambhalti hai.
Mere dil ko ab kisi se gila nahi,
Mun se jise chaha wo mujhe mila nahi,
Badnaseebi kahun ya waqt ki bewafai,
Andhere mein ek deepak mila par wo bhi jala nahi.