Tanhai ke saharo me ek ghar basa liya, en aansu ko apna mandir bana liya, suna ha yha patthar ko pujte hai log, es liye dil ko hi maine patthar bana liya.
Apne is dil ki tanhai dur karne ke liye, mene aapko apne dil me panha di. Iss cigarete ka sahara liya tumhe bhulane ke liye, par kambakhat dhuve ne tumhari tasveer bana di.
AAJ FIR EK UDASI CHAI HAIN..TANHAI MAIN BETHE BETHE YAAD TUMHARI AAI HAIN.. KESE BEH JANE DU MAIN IN AANSU - O KO IN AANKHON MAIN TUMHARI TASWIR JO UBHAR AAI HAI....
Baras jate hain badal pal me in majboor ankhon k, vo jab dikhta naih inko jise dil mein basaya tha, kabhi baitho zara tanhaiyon k sath fir socho, ki uska kya gunah tha, jisne tumhe dil me bsaya tha.
Is khudgarz zamane me koi kisi ka nahi hota, Khushiyan he hoti duniya me to gum ansu kaun rota. Gaur se dekhna kabi behte hue ansuon ko, Hasti ankhon se behne wala hr aansu khushi ka nahi hota.
Chandni raat ki ik baat btata hun, main tanhai me aksr is dil ko roz jalata hun, Ye yaden roz jane kaise aa jati hain is dil me, ye utni he aa jati hai main jitni roz jalata hun..
Bahut hain duniya me gum ki numaish dekhne wale, pr is gum ka kharidar koi nahi, yun to hr bar toota hai dil ye wafa ki chah me, fir bhi is Dil ka gunehgar koi nahi.
Bade toofa jhele hain zamane bhar k is dil ne, mohabbat ka Magar jhoka bhi ye dil jhel na paya, Bahut khela hai ye dil maut se bi zindagi se bi, Magar ye dil kisi k dil se kabhi khel na paya..
Gum mere duniya se ache hai, hr waq ye mera saath nibhate hain, ek khushi k liye kai baar chod deta hun inhe khudgarzi me, pr ye mujhe tanha dekh kr laut aate hain..
Jo Ansu Ki Trh Bhta Gya Wo Raqt Hu me, Jise kadam-2 Pr Ajmaya Gya Wo Wqt Hu me, Shyd Isi Trh Likhi Meri Taqdir Khuda Ne, Jise Chahne Wala To Mila Pr Chaha Na Gya Aise Shaks Hu me
khwaish thi ruthe yaar ko manane ki, uske aanchal me toot k bikhar jaane ki, jab pahunche uske aangan me to dekha, wo dua kr rhe the kisi aur ko paane ki.
Kehna to bahut kuch hai pr alfaz km hai, zindagi badi hain mgar saans km hai, sari umar gujar di hai gamon k sath maine, kisi khushi ki ab to dil ko aas bhi km hai..
Hoga afsos jb hm nahi honge, Tab teri aakhon m aansu kam nahi honge, Bahot milenge tere Armano s khelne wale, Par us waqt teri parva karne walo m hm nahi honge.