jin ankho me aapki yade bsi hai. Unhe aaj aapke liye barste dekha hai. kabhi apke saath har pal gujarte the. Aaj khud ko un palko ke liye tarste dekha hai.
Dil main tamanao ko dabana shikh liya
Gham ko ankho main chhupana shikh liya
Mere chehre se koi bat zahir na ho
Isliye Daba ke honto ko muskrana sekh liya.
unhe fursat nahi hamse baat karne ki, kabhi hamse milne ka bahana dhundhate the, rahene lage unche mahelo me kabhi hamare dil me ashiyana dundhate the...
Mjburia hamari wo jaan na sake,guzarishen hamari wo maan na sake,kehte hai ki hume mrne k bad b yaad rakhenge magar, jeete ji hume to kbhi phchan na sake.
Na hoti bekararaari na hote hum tanha, Jo jahan me kambhakt ye mohabbat na hoti, Na hote ye sapne, ye khwabo ki duniya, Kisi ko chahat ki tamanna na hoti,
Jeene ka matlab maine mohabbat me paa liya,Jiska bhi gam hua use apna liya. Aap rokar bhi gam ko halka na kar sake, maine hasi ki aad me har gam ko chhupa liya.
Woh toh diwani thi mujhe tanha chod gayi,
khud na ruk saki toh apna saaya chod gayi,
dukh nahi gum is baat ka hai,
aankhon se kar ke waada baaton se tod gayi.
Humare dil ki gehrai ko koi samjh paya hi nahi,
Kitne tanha hain hum koi jaan paya hi nahi,
Kisi ko mehsoos ho kami humari,
Khuda ne hume aisa banaya hi nahi…
dard denevale to bahut milte hai,magar dard lenevale kam milte hai nazuk waqt me hame yad karna kyu kizindagi me isqadar chahnewale dost bohut kum milte hai
woh kahe to ussay bhool jaun main
yaad ussay bhi na aau kuch aisa kr jaun main
ek bar woh humse keh kr to dekhe
uske ek ishare pe khud ko bhool jain main
Badi der se ye paimana liye baitha hu, Koi dekhe to samjhe piye baitha hu, Zindagi bhar ke liye roothkar jane wale, (Teri Kasam) Mai abhi talak teri tavir liye baitha hu…
Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui, Chahat ka koi afsana na bana, Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se, Aur usse baat karne ka koi bahana na bana