Mana k tanha reh jayenge, na kisiko yaad ayenge aur na aansu bahayenge, hamara tha he kaun jinhe hum bhool jayenge. Magar vo kya karenge jinhe hum yaad ayenge ....
Khushiyon ki jageer lutaye baithe hain,Dil mein unki tasveer banaye baithe hain. Jo jakham Dekar wo bhool gaye, hum un Jakhmon ko takdeer banaye baithe hain ...
Na jane kyon woh mujhe muskura ker milti hai Andar k sare gham Chupa k milti hai Janti hai ankhen Sach Bool jati hen Shayad isi liye ANKHEN jhuka ker milti hai
Pyar to karlen pr ruswaiyon se darte hain, Is Dil k zakhmon ki gehraiyon se darte hain,Pyar me aisi chot lagi hai Dil pe, k ab to pyar karne walon ki parchaiyon se darte hain.
Aise mere shehar ke halat na the, bikhre bikhre mere Dil ke armaan na the, kuch lakiren thi mere hathon me unke jane se pehle, yun bin lakeeron ke mere haath na the ....
Kuch to tanhai k lamhon ka sahara hota tum hote ya phir zikar tumhara hota koi hamdard zamane mein na paya hum ne dil ko hasrat hi rahi koi hmara hota.
ankho se jab baat hoti hai, aise hi to mahabbat ki shuruaat hoti hai. bewafa ho jati hai jb ye mohabbat humse to, sabse jyada kisi ki yaad me ye ankhen hi roti hai.
Thoda gam mila to ghabra k pee gaye, thodi khusi mili to mila k pee gaye,u to hme na thi pine ki aadat, sharab ko tanha dekha to taras kha k pee gaye..
Mana Ki Mere Ishq Me Dard Nahi Tha. Par Dil Mera Bedrd Nahi Tha. Ho Rahi Thi Meri Aankho Se Aansuo Ki Barish. Par Unke Liye Aansu Or Paani Me Koi Fark Nahi Tha.
Tum jab yaad dilati ho to saza mill jati hain, Varna har bar gunah kar k bach jata hoon, Wo gunah pyar hain ye soch k kush hota hoon, Par saza tumko mili ye soch k ro jata hoon.