Tum fareb khaate' ho, ham fareb khaate' hain Qeh'qahoN ke daaman ma dono gham chupaate' hain Jaan boojh kar saaqi! ham fareb khaate' hain Tanz karne' karne' waaloN ka zarf aazmaate' hain
Kal rat urr rahy thy taray hawa kay sath Aur main udas bathi the apny khuda ky sath Ya to qabuliat ky taraqay seekha mujay ya mary dil ko banda dy apni raza kay sath
Khwab Sach Ho To Tabir Bhi Mil Jati Hai Yad Bhi Aksar Ik Tasvir Mai Badal Jati Hai Kuch Maango Agar To Maango Sachey Dil Se Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai
Takseem-i-Muhabat My be kuch gum he mily Phir b shikayat hai ka siley kum he mily Ae Zindgi ek baat bta zra hum ko. Kya dil dukhane ke lye Tujhe hum he mily.
kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye tu bhi kuch aur aur hai ham bhi kuch aur aur hain jane wo tu kidhar gaya jane wo ham kidhar gaye.
zara si der ko aye the khwab ankhon mein phir us k bad musalsal azab ankhon mein wo jis k nam ki nisbat se raushan tha wujud khatak raha hai wahi aftab ankhon mein..
Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam Shaam e Gham Ki Qasam
cute love muskrate ho to bizlia gira dete ho baat karte ho to diwana bana dete ho nazar apki kam nahi kisi kayamat se jaha b dehkte ho agg laga dete ho
Kahna bahut kuch chahte the unhe magar Zubaan ne saath n diya, Kabhi waqt ki khamoshi me Khamosh rahe ham to kabhi unki khamoshi ne kuch kahne na diya......
Dekh ab qurb ka mousam bhi na sar sabz lagay Hijar hi hijar marasim main samoya kaisy Aik aansoo tha k dariya-e-nidamat tha FARAZ Dil sa baibaak shanawar ko daboya kaisy
Kya hua jo tu dur chala gaya mujhse, Mere pas teri haseen yadain hai jaan. Ghamo ki ghati se guzarta hu har roz, Wohi maut se hoti do char mulakate hai To kya hua sanam abhi in ankho me khwabo se bhari haseen ratain baki hai
Her Subah Nikal Partaa Hy Jo Khud Kee Talaash Mein. Voh Khoyee Huee See Ek Pahchan Hoon Mein. Naa Ankhon Me Khawaab Heyn Na Dil Mein Tammannaa Koee. Apnee Banayee Huee Raahon Sey Hee Anjaan Hon Mein.
dil k dariya ko kisi roz utar jana hai itna besimt na chal laut ke ghar jana hai us tak ati hai to har chiz thahar jati hai jaise pana hi use asl main mar jana hai..
dil jitane ka jigar haam bhi rakhate hai katil karde wo nazar haam bhi rakhte haiduniya se vaada kiya hai muskuraneka varna ankho mein samandar haam rakhate hai
Meri Ankhoon Kay Samandar main Jalan Kaysi Ha Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaysi Ha Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaysi Ha.
Pathar sulag rahe the koi naksha na tha Hum jis taraf chale the udher rasta na tha Naakamiyo ki sehar ki tanhaiya na poochh Apna sharike gham koi apne siwa na tha
Mujhay Aksar Yeh Kehti Thi,"mohabbat Kuchh Nahin Hoti Hijar Ka Khauf Bhi Matlab, Wasal Ke Khawab Bhi Manay? Koi Soorat Nigahon Main Kahan Din Raat Rehti Ha? Yeh Aansoo, Be-zuban Aansoo Bhala Kia Baul Saktay Hain