kajal bunkar teri aankhon mein samane ki taman na he, dawa bunkar tere durd ko mitane ki taman na he, yun to hasil he zamane ki har cheez mujhe, sirf tujhe apna banane ki taman na he
ab ke socha ha ke khud ko yeh saza di jaye tujh say wabasta har ik baat bhula di jaye ab talak ji liya, itna bhi ghaneemat ha bohat mujh ko jeenay ki na ab aur dua di jaye!
Raat Yun Dil Mein Teri Khoyi Hui Yaad Aaye Jaise veerane Mein Chupke Se Bahar Aa Jaye Jaise Sehraon Mein Holey Se Chale Bad-E-Nasim Jaise Bimar Ko Bewaja Qarar Aa Jaye
Dosti se keemati koi jaagir nahi hoti, dosti se khubsurat koi tasveer nahi hoti dosti yun to hai ek kacha dhaga hai, magar is dhaga se mazboot koi zangeer nahi hoti…
Sahi Kehte Hain Log Kisi Se Dil Na Lagana,Kisi Ko Is Tarah Tum Apne Dil Me Na Basana,Ye Tumhara Dil Tod Ke Akela Chhod Denge,Inaki Yaado Ko Lekar Padega Aansu Bahana.
Dil ko thi in se milne ki aarzu, or milne ki khwahish me sabhkuch gawa diya, kisi ne di khabar ki wo aayenge rat me, itna kiya ujala k ghar tak jala dia.
Ae dil kissi ki yaad mein rona fajool hai .. ye aansoo bade anmol hain inhe khona fajool hai .. royo to unke liye jo tum par nisaar hain .. unke liye kya rona jinke aashiq hazaar hain.
Apni beeti hoi rangin jawani de ga, Mujh ko tasveer b de ga tou purani de ga, Aadaten milti hyn soraj se bohat kuch us ki, Waqt-e-rukhsat b wo ek shaam suhani de ga, Me ne yeh soch k boay nahi khawabon k darakht, Kon janghal me lage pair ko pani de ga...
honto pe ulfat ka fasane nahi aate, sahil pe samundar k khajan nahi aate, insan hi hote he insan ke humdard, koi farishte yahan sath nibhane nahi aate.
Jin rahon pe ik umar tere sath raha hoon Kuch roz se wo rastey sunsaan bohat hain Mil jao kabhi laut ke phir aaun na shayad Kamzor hoon main rah mein toofan bohat hai
unke liye mere aansuo ki koi kimat nahi hai,wo kahte the hume aap se koi mohabbat nahi hai,pachhta rhe hai wo ab bite lamho ko yaad kar-kar ke,ke aaj humare jism kyon koi harkat nahi hai…….
AANA dil ka shehar nagar afsoos ka ha tera mera sarah safar afsoos ka ha Kis chahat sey shehar-e-tammana manga tha Ab hathoon mein sagar Afsoos ka ha..
zindagi k har mod par sunhari yadon k ehsas rahne do, surur dil me zuban pe mithas rehne do, yahi he jine k bahane na khud raho udas, na kisi or ko rehne do.