Ae rab tu hamaare pyaar ki duniya basa de, Hoga karam tera sada ke liye ham ko mila de, Tu dushmano ke dil me pyaar ki shama jala de, Apne karam se beech ki har deewaar gira de.
Hawa ban kar bikharney se Usey kya farq parta hai Mere jeeney ya marney se Usey kya farq parta hai Usey to apni khushiyon se Zara bhi fursat nahi milti Mere gham ke ubharney se Usey kya farq parta hai
Waqt ke is mod par ye kaisa waqt aaya hai, Zakhm is dil ka jubaan par aaya hai, Nahi rote the ham kaanto ki chuban se, Aaj phulon ki chuban ne hamko roolaya hai
Dosti ka paigaam jo aapko mila, Dil ho gaya khush mit gaye saare gile, Kisi dost ko nahi mila hoga dosti ka aisa sila Ki saare gam ho gaye door mere, Jab doston ke pyaar ka najrana mila.
TU HAIN MUJME SHAMIL MERE KHUN KI TARAH TERA TASAWWARE JIKR BHI KARU KIS TARAH CHAHE DOOR SAHI LEKIN TU HAIN IS DUNIYA MAIN TERI UMMID REHTE HUAE MAIN MARU KIS TARAH
Kabhi hasati hai to kabhi rulati hai ye zindgi bhi na jane kitne rang dekhati hai,haste hai to bhi ankhon mein nami aa jati hai,na jaane ye kaisi yaadein hai jo dil mein bas jati hai.
Socha hai aaj fir Unki yaado ko seene se lagaya jaaye, Yaad karke unki aankho ko, chehre ko, is dil ko behlaya jaaye, Rahenge Hosh main to yeh masroofiat hume unhe yaad karne nahi degi, So madhosh hone ke liye aaj fir ik jaam uthaya jaaye.
Bhari mehafil me bhi khud ko tanha paate hai, Ab to teri yaado se hi dil ko behlaate hai, Na jaane kya gunaah kar diya hamne, Jo ro-rokar kya ham apna dil dukhate hai.
Dosti me dil ko tamaasha dekha nahi jaata, Hamse tuta hua dil aise dekha nahi jaata, Apne hisse ki khushiya bhi de du tujhe, Ae dost tera utara hua chehra mujhse dekha nahi jaata.
Aye mout aaj main tujhe gale lagana chahta hoon kitni wafa hain teri fitrat mein ye aazmana chahta hoon zindagi ne to hardam rulaya hai mujhe tera saath mile tho zindagi ko rulana chahta hoon
baag ki baat baag kaa mali he samajhe, phoolon kaa dard jhuki Daali he samajhe, ye kaisi reet banayi duniya waalon ne, diya ka dil jala aur log diwali samajhe.
Unase door bhala ham kaise reh paate, Dil se unhe kaise bhula paate, Kaash! ki wo saanso ke alava aaine me bhi hote, Khud ko bhi dekhate, to wo hi najar aate.
Tumhaara ang-ang mere pyaar ki gawaai dega, Maine hothon se tere badan pe likhi hai prem kahani, Jiski sej par baithi ho tum mujhse muh mod kar, Uske kaabu me na aayegi teri muh jor jawaani
Saanse lene se teri yaad aati hai, Naa lene se meri jaan jaati hai, Kaise keh doon ki sirf saas se jinda hoon, Kambakht saanse bhi to teri yaad ke baad aati hai.
Khamosh nigaahe aapki bahut kuch samajha gai, Chup hai ham kyun majboori hai apni, Beshak hame pyaar hai aapse, Par itna bhi nahi ki ham vajood badal de apna.
ab to apni tabiyat hi juda lagti hai. saans leta hun to zakhmo ko hawa lagti hai. kabhi raazi to kabhi khafa lagti hai. zindagi tu hi bata tu meri kya lagti hai.
itne dino ke baad, aapko dekhkar nazare jhuki.. dil es kadar dhadakne laga, dar sa lagne laga, ki koi mere is dil ka, raaz na jaan paye.. esliye mere dil ke malik, mein apne dar par kabu pane ke khatir, aoron se batiyani lagi.. aur aap hamari es harkat ko, hamari bewafai samaj baithe..
Peete nahi hai phir bhi teri chaahat me Ham mehkhaane jaane lage hai, Aap hi soche kitne pyare hai aap jo Bhagwan ko chodkar ham aapki kasam khane lage hai.