Tum ho gam ko Chupaaye, main hoon sar ko jhukaae, Tum bhi chup ho, main bhi chup hoon, Kaun kise samjhaye, ab duriyaan itni hai, To kya pata-milana yaha kal ho naa ho?
Aye moutaaj main tujhe gale lagana chahta hun. Kitni wafa hai teri fitrat mein ye aajmana chahta hun. Jindagi ne bahut rulaya hai mujhe tera saath mile to jindagi ko rulana chahta hun.
Kaanton par jo saath chale, wo hamdard hota hai, Tuphaano mein jo saath nibhaaye wo humasaya hota hai, Par kaanton ko jo phool mehsoos kare, Wo ek pyara sa dost hota hai.
begano se pyar ki gunjaish nahi hoti, maut k baad baki koi khwahish nahi hoti. shayad koi pyar bhara dil tuta hoga warna "NOVEMBER" me kabhi bharish nahi hoti.....
Royegi ye aankhen muskurane ke baad, Aayegi raat din Dhal jaane ke baad, Kabhi ruthana na mujhse mere dost, Shayad ye zindagi na rahe tere rooth jaane ke baad.
Lab khamosh jab hoti hai, jab tum samne aati ho, Dil dharakta hai jab nigaahen milate ho, Saas rookte hai jab tum muskurati ho, Dil kamjor hai mera, itna kyon Daraate ho?
kuch dard baat nahein sakte, us dard ko sahlena ke siwaay koi raasta nahi hota.. yeh jaante huye bhi hum aise dard se rishta bana lete hai, kyunki es dard ka ehsaas unse juda hota hai.. jinki yaad me labo par, muskan ajaya karti hai..
Atak ke reh gaya palko per khawab esa tha Hazar tarha se khud ko jaga ke dekh liya Bigad to sakta hai lekin sawar nahi sakta Nasib humne bahut aazma kar dekha hai
Mana ki kabhi dil ki baat na bataaoge, Par aankhon me jo hai wo kaise chupaaoge? Vaada raha hamara ye tumase, Jab bhi mobile khola karoge, hamara SMS jaroor paaoge.
Zindagi ne khushiyon ko pukara hai, Sada muskurao tumhara har gam hamara hai, Phool khilte rahe jeevan mein tumhare, Kaanton ke liye daaman hamara hai.
Sakoon milta hai jb unse bat hoti hai’ “Hazar raton me wo ek raat hoti hai” “Nigah utha k wo dekhen kabhi jo meri taraf” Woh ek nigah meri kAINAAT hoti hai.
Raat aankhon me dali palkon par jugnu aaye, Ham hawa ki tarah jaakar tujhe chu gai, Bas gai hai mere saath ye kaisi mehak, Koi khushboo jo lagaau to teri khushboo aaye
Teri dost ki tarif jubaan par aane lagi, Tumse dosti ki aur zindagi muskurane lagi, Ye mera pyar tha ya meri achaI, Ki meri har saas se tere liye dua aane lagi
Yaade tere khalus ki dasti hain aaj bhi Milne ki aarzoo me tarsti hai aaj bhi Aaankhe hazar zabt ki koshish ke bawajud Ruk ruk ke bar bar barsti hain aaj bhi