Bichhad Kar Humse Kabhi Wo Bhi Tadpa To Hoga Chand Lamhe Hi Sahi Wo Bhi Roya To Hoga Beenayi Chashm Ki Kho Gayi Teer Reh Kar Uske Naino Ko Bhi AshQone Bhigoya To Hoga
jinka sach hona kisi surat se bhi mumkin na tha aisi aisi baatein aksar sochna achcha laga pehle pehle tou nighaaon mein jachta nahi tha rafta rafta dusra, phir teesra achcha laga.
har ilzaam ka haqdaar wo humein bana jate hain, har khata ki sazaa wo humein suna jate hain, hum har baar khamosh reh jate hain, kyunki wo apna hone ka haq jata jate hain....
tum se wafa ki umeed nahi karte to rooth jao bina baat ke yeh hum kabool nahi karte narazgi ki wajha to batao warna aise hi hum kissi ko apne kareeb nahi karte
Shaam chirago se saja rakkhi hain. Shart logo se laga rakkhi hain, shayad aa jaye koi humse bhi zyada pyasa, yahi sochkar thodi si bacha rakkhi hain....
Dil Is Kadar Tuta Ki Hum Sambhal Na Paye, Khud Ko Badal Dala Par Unhe Badal Na Paye, Wo Kahti Hum Na Badlenge Tumhare Sath Hain, Par Is Tarah Badal Gayi Dil Karta Hain Mar Jaye.
Ik Zamaana hua keh rim-jhim barsaat hui Khushion ki gham ke baadalon se mulaqaat hui Jaane kabse sulag rahi thi gham ki aag dilon mein, Pyaar ki kuch boonde padiin tou mehakti raat hui
Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga
main dil par jabr karungi tujhe bhula dungi marungi khud bhi tujhe bhi kadi saza dungi yeh teergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho main tere sheher ke sare diye bujha dungi
Phoolon se tu saj rhi hogi, hoolon se me saj rha hoga, char kandho pe tu ja rhi hogi, char kandho pe me ja rha hoga, fark sirf itna hoga……………… tu duiya basa rhi hogi AUR me duniya se ja rha hoga
Mana tu mere saath nahi par tere hone ka ehsas kam bhi nahi hai Tu ayegi ye aitbar hai mera na aaye to koi gum bhi nahi hai Teri talaash me nikle hai garm jajbat mere dard to hai par jism pe jakhm bhi nahi hai Roj tanhai me chand se guftgu hoti thi aaj bhi chand hai goya hum hi nahi hai.
kisi ki yadoon mein khona achha nahi lagta humein kisi ke liye tanha jeena achha nahi lagta humein hum to kaat chuke hain bohut phele tanha zindagi ab phir se kisi ke liye marna achha nahi lagta humein
tumhari chhoti se chhoti baat bhi bhulti nahi yaad hai jo dil se jati nahi apni yaadon se keh do is tarhan se tang na karein raat guzar jati hai or neend aati nahi
Teri yaad me bahut paigaam milate hai, Teri yaad me gujaari vo shaam likhate hai, Vo kalam bhi teri deewani ho jaati hai, Jisase tera naam likhate hai.
Dagamate hai kadam aankhein yun hi ho jaati hai nam Barbas hi main ruk jaaya karta hon chalke do kadam Zamaane wale ab humein paagal samajh ne lage hain Koi ye na samjhe asar hai ye teri bewafayee ka, o-bewafaa sanam.
hawa ka haath bataungi har tabahi mein hare shajar se parindein main khud udda dungi wafa karungi kisi sogwaar chehre se purani qabr par qutba naya saja dungi isi khayal mein guzri hai sham-e-dard aksar ke dard hadd se badhega tou muskura dungi
Nadiyon ki dosti sagar se hai Badal ki dosti ambar se hai Chand ki dosti sitaron se hai Fulon ki dosti khushbu se hai Parvat ki dosti jharno se hai Bagon ki dosti kaliyon se hai Umangon ki dosti dil se hai Humari dosti sirf aap se hai