Woh jo Shehar Tha ujar gaya,
Woh jo khuab tha bikhar gaya
Kabhi mAumon ki nazar lagi
Kabhi vehmonm ne dara diya
Kabhi manjilon ke sharrab ne
Humen raste main daga diya
Kabhi zindagi ki kitab se
Humen usne chaha mita diya
jina to mano jaise aab khel sa ho gaya, na chah kar bhi har baji me fail sa ho gaya, dil ko bahoot kahawate sunai. haar me hi jeet hai ye baat bhi batai. par na jane kyon ye nahi maana, or aanko se dosti nibhai, fir aansu ki nadi bhahai....
Chehare Badal Badal ke wo, Ghum Apne chupa rahe hain. Hasti hui tasveero ke peeche. Wo khud rote jaa rahe hain. Per unki aankho mein sab kuch nazar aata hai humko... Jo chup chaap rehakar bhi fasana apana suna rahe hain..
pal aisa tha k hum inkarnahi kar paye,zamane ke darr se ikrar nahi kar paye,na thi jinke bina zindagi munasib,chhod diya unhone aur hum sawal bhi nahi kar paye
ye to malum hai k tumhe paa na sakenge
tumhara naam duniya k saamne la na sakenge
jaldi aa jaao k waqt rukhsat ka hai
tumhe dekhe bina duniya se ja nahi sakenge
Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein
Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Ham Tum se Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein.
Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhi
Milnay ki aarzooain trastii hain aaj bhi
Ankhain hazaar zabt ki koshish kay bawajood
Ruk ruk kay baar baar barstii hain aaj bhi
Chalte hain to apne kadam dagmagate hain
Aksar tanhaiyon mein hum ghabrate hain
Jahan ki khabar na khudh ka pata hai
Ab to bekhabar hi hum hue jaate hain
Sun le jara sun le jara dil ki mere kya kahe dhadkane
Kuch lamhe ek zindagi banate hai, ek pal pyaar ke, ek pal ehsaas ke, ek pal narazagi ke, Kuch lafz manane ke, ek pal nibhane ke, or phir ek pal maut ke
Shabnami Raat ho aur her taraf Andhera ho
Ek chadar mai lipte Do Badan, ek Tera ho ek Mera ho
Mere Makhmali badan mai, Khushbuon k Chaman mai
Sadiyon tak wo Raat chale, Sadiyon door Sawera ho
ek khawab hi to hai jinme aate hai sanam… ek khwab hi to hai jisme bhul jaate hai gam.. are hum to zindagi mai kabhi muskuraye hi nahi.. ek khwab hi to hai jisme muskurate hai hum…
ye aarzo nahi ke kisi ko bhlaye hum,na tamanna hai ke kisi par fanaa ho jaye hum.par dua hai us rab se itni,jisko yaad kare usko bhi utna hi yaad aye hum.
Kya Mohabbt Kisi Ke Bhi Kabil Nhi Hai
Jo Dil Chahe Q Use Wo Hasil Nahi Hai
Saans Ab Jivan Ko Itni Dur LeAyi Hai
Maut Keh Rhi He WoTeri Manzil Nahi Hai.
Khushnaseeb hai hum k mile aap mujhe..
Tanha zindagi k safar mein, mila saathi anmol mujhe..
Gham k baadlon mein gher rakha tha mujhe..
Ab baadalon ko cheer k bhi suraj deti hai roshni mujhe..