Guzra waqt jab bhi dil ki dastaan sunayega, tumko bhi ek shakhs yaad aayega. Gaur se dekhna zindagi ke pannon ko, kahin na kahin to hamara naam bhi nazar aayga.
Neendain meri aankhon say churaata hai wohi shakhs
So jaon toh khuwabon mai bhi aata hai wohi shakhs
Her zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahi hai
Her zakhm pay marham bhi lagaata hai wohi shakhs
agar main door ho jaoon
tu palkon ko jhapak daina,
agar aansoo giray koi
samjh lena k wo hu main..
hathaili samnay rakhna
k sab aansoo girain us main,
jo ruk jaye ga honton par
samjh lena k wo hu main.
Kuch kar kay dikha diya, ki kaam bohut hain,
Is jahan main jeetnay walay muqaam bohut hain,
Mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay,
Roz mar mitney walay naam bohut hain.
Waqt Ki Aandhi Main Toofan Badal Jatay Hain
Zindagi Ki Rahoon Main Insaan Badal Jatay Hain
Badaltay Nahin Pyaar Kabhi
Pyaar Karnay Walay Insaan Badal Jatay Hain
ab jo jinda rhte h wahi bhul jate h,pas rhne wale hi aksr jkhm de jate h,jinke hatho se hm ummed krte the mrhm lgane ki wohi log ab tohfe me hme kfan de jate h.
jab doori ka ehsaas sataaya kare to dil ko sambhal liya karo,, aur jab guzra waqt yaad aaye to dimaag off kar liya karo ,,,,,,,,,, kisi paagal ko bhoolne ki koshish karoge to dimaag kharaab hoga hi ,, aur jab dimaag kharaab ho jae to sar ke baal noch liya karo.
HO KE MAYOOS NA YOON SHAAM SE DHALTE RAHIYE,
ZINDAGI BHOR HAI SURAJ SA NIKALTE RAHIYE,
EK HI PAON PE THAHROGE TO THAK JAOGE,
DHIRE-DHIRE HI SAHI RAAH PE CHALTE RAHIYE.
Jisne hame chaha hamuse chah na sake,jise chahte the use pa na sake.
ye samajh lo ki khel tha dil tootne ka,kisi ka toda hamne, aur apna bhi bacha na saka.
Kya batau kisiko kya dard hai seene mein
maut aajaye gham nahin....ab kya rakha hai jeene mein
gham sharaab se agar pal do pal ke liye rukhsat hojaaye toh
ae dost kya harz hai phir peene mein
koi nahi chahta sona aasman k niche rahne k liye ghar chahiye
dost ho tumhare jaisa tumhara saath hume umar bhar chahiye
tum rootho main manaoo aisa pyar chahiye
dosti par atal rahe hum jaisa khudaar chahiye
Hogi kisi Ki tmanna sitara Ban jane ki,
Hmari to chahat hai sitaro ko pane ki koi chahta hoga kisi ke dil me basna,
Hmari to Aadth hai
her kisi ko dil me bashane ki....
Zindagi mein kai mushkilein aati hain,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai.
jindagi gamo se dur nhi hoti,
or har khusi dil ke karib nahi hoti,
is dosti ko pyaar se sajs kar rakhna dost,
ye wo ibadat hai jo har kisi ko nasib nhi hoti.
Mushkil hai ab in labo ka kabhi muskura paana,
Mushkil hai ab is dil ka kisi ke liye dhadak paana,
Chalakte hai sirf aansu in aakhon se ab to,
Mushkil hai inme kisi ke liye sapne sajaana.
DUNIYA MEIN AAYE HO TO GAM SE KABHI DARNA NAHIN,
JO DAR GAYA UNME JINE KA DUM NAHIN,
ZINDAGI KI REL MEIN MILTE RAHENGE HUMSAFAR,
KAL KOI AUR HOGA AAJ BHALE HI HUM SAHI.