Jab bhi mil te ho muskurate ho..
itni khushiyan kahan se laate ho,..
jab bhi kuch bolte ho lagta hai...
koi dil kash gazal sunate ho...
dil ki suni andheri basti me chahaton ke diye jalate ho..
zindagi khush gawaar lagti hai..
jab mere itne kareeb aante ho...
Maksad se maangi huii dua ko ibadat nahi kehte..
Irade se kiye hue pyar ko mohabbat nahi kehte...
Khwahishon se mili cheez ko zarurat nahi kehte...
Ishq mein befawaii koi sharafat nahi kehte...
Har ek lamhe muze tera sath mehsoos hua,
Har waqt tere hone ka ehsaas hua,
Phir kyo aankho mai nami si hai,
en tanhayio mai, udasi ki gehrayio mai,
hum kyo fir doobate hai,
Shayad isliye aaj phir ,
“TUMHE CHUKAR” dekhane ki khwaeesh huie.
Ghum is qadar mila k ghabra k pee gaye Khushi thodi mili to mila kar pee gaye Yu to na the hum peene k aadi Sharab ko tanha dekha to taras kha k pee gaye….
Chalo tum sath mat dena...
Mujhy beshak bhula dena...
Naye sapne saja lena...
Naye rishte bana lena...
Bhula dena sabhi waday
Sabhi qasmen sabhi Naty...
Tmhen jana! ijazt hay...
Jo dil chahe wo sab karna..
Magar ab tum kisi se bhi..!
Adhora Pyar Mat Karna
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee,
Pahali hi mulakaat me, kuchh baat to ban jaayegee.
Sataayegee yaad priye ki, tarpaayegee tanhaiyaa,
Chehra dikhaayee degaa, man bhaayegee parchaaiyaa.
Fir bhee milege chhup ke, manjil najar aayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.
Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho
zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho
kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai
zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho
Bas Ek Haan K Intazar Mein Raat uhin Guzar Jay Gi Ab To Bas Uljan Hai Sath Mere Neend Kahan Aaye Gi Subah Ki Kiran Na Janey Kon Sa Sandes Laye Gi Rim Gim Si Gun GU Naye Gi Yaan Peyas Aduri Reh Jay Gi.
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai , Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai .. Tera Khayal Hi Kuch Meherban Hai Verna , Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai.
Tum pe bhi koi to marta hoga,
ek pal bhi tumse bichadna is se koi to darta hoga,
tumhare gamo ko apni khushi se koi to bharta hoga,
tumhare liye duniya se koi to ladta hoga,
tumhare dil me bhi koi to rahta hoga,
tum pe bhi koi to marta hoga.
bbadal ki tarah awara hai hum, aap bhula na sakoge wo nazara hai hum, jo tut k fanah ho jayega apki ek khwaish ke liye aasma ka wo andekha sitara hai hum...
kisike dil mein basna bura to nehi
kisiko dil mein basana khata to nehi
gunah hai wo zamane ke nazar mein to kya hua?
zamane wale bhi insaan hai...khuda to nehi..
Mohabbat ek jaanlewa aadat hai, Jisme hoti shikwa-shikayat hai, Par aashiqon k liye to, Yahi unka khuda aur yahi ibadat hai. Wo mohabbat hi to hai doost, Jo jeevan ko haseen banati hai. Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi, Par mohabbat zindagi ban jaati hai
Shayad parvano ki fitrat mai hai shama se milna or jaljana. Shama jalti nahi yuhi kisi ko jalane ke liye. Ashk bahte rahe to hi accha hai, bahte ashk, hi asar late hai, Yuan rok lena bhi accha nahi ashko ko, ruk jaye to zaher ban ke dil mai uttar jate hai.
KITNE LOG THAY MERE JANAZE K PEECHHE, EK TU NAHIN THA MERE JANAZE K PEECHHE, TU HOTA BHI KAISE MERE JANAZE K PEECHHE, TERI BARAAT JO THI MERE JANAZE K PEECHHE.