Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
Samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
kuch log zindgi me is kadar samil hote hai,
agar bhulana chaho to aur jyada yaad aate hai,
bas jate ha dil me is kadar ki,
aankhe band karo aur samne najar aate hai;
Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi... Bhakti shraddha me hoti hai...shabdon me nahi.. Tu bhi jaan le mere dost... Dosti dil me hoti hai.. dikhaweme nahi...
ZINDAGI NAHI HAI HAMEIN DOSTOON SE PYAARI.. DOSTO PE HAAZIR HAI JAAN HAMARI.. AANKHON MEIN HAMARI ANSOO HAI TO KYA... JAAN SE BHI PYAARI HAI DOST MUSKAN TUMHARI...
Hasraton ki nigaho pe sakht pehra hai, Na jane kis umeed pe ye dil thehra hai, Teri chahton ki kasam ae dost, Apni dosti ka rishta pyar se bahot zada gehra hai
kisi ka pyar pane ki tamanna nahi, aap jaisa dost ka dular mile itna kafi hai aap chahe humein milo ya na milo, par humein yaad karte raho bas itna kafi hai
ISHQ ME DIL KA TAMASHA DEKHA NAHI JATA, HUMSE TUTA HUA SHISHA DEKHA NAHI JATA, APNE HISSE KI KHUSHIYA BHI TUJHE DE DUN, TERA UTRA HUA CHERA DEKHA NAHI JATA!
Aur bhi bahut si cheeze lut chuki hai dil ke saath Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad Is liye kamray ki ek ek cheez “ckeck” karta hoon main “Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad”
Ek baar ek tut hue taare ko dekha to dil se awwaz aayi ki maang le aaj kuch apne liye jab kuch manga to dil se fir awaaz aayi ki jo khud tut raha hai wo kaise puri karega fariyad koi.....
Kalam uthaya hai par lafz nahi milta, Jisko dhoond rahe hai who shuks nahi milta. Firte hai who zamane ki talash mein, Bas humare liye unhe waqt nahi milta.