Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena zinda rahe to milenge dost nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena!
Sachi hai dosti aajmake dekh lo, karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo. badalta nahi kabhi sona apna rang, chahe jitni baar marji aag me jalaake dekh lo
DOST TO MILENGE HAR RAH PAR HAR DAGAR PAR, PAR NA KARNA KISI AJNABI PAR AITBAAR BHOOLKAR, DOST TO BANA LETA HAI HAR KOI, LEKIN NIBHA PAATE HAI KOI KOI.
Dosti acchi ho to rang lati hai. Dosti gehri ho to sabko bhati hai, dosti nadaan ho to toot jaati hai, par dosti hum jaiso se ho to itihaas banati hai.
MIL JAAYE KOI NAYA TO HAME NA BHOOLA DENA, KOI AGAR RULAYE TUMHE TO HAME YAAD KAR LENA, DOST HAI TUMHARE HAM MERE DOST, KHUSI NA SAHI GAM HI BAANT LENA.
ye mat sochna ki bhul jaayenge hum tumhe, door rehkar bhi chahenge hum tumhe, tumhe agar dost bankar raas nahi aaye, to ajnabi bankar bhi yaad aayenge hum tumhe
Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge, tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge. Milega na tumko hum jaisa koi, milne ko to dost beshumar mil jayenge.
Waqt ke panne palatkar fir woh haseen lamhe jeena ko dil chahta hai,kabi muskuraya karte the sab dost milkar,aaj phir unke sath wo pal bitane ko dil chahta hai.
Khushi ek phool hai jise dosti ki thandi chaon chahiye, Gum ek nadiya hai jise paar karna ke liye Dosti ka sahara chahiye, Pareshani zindagi ka hissa hai, jise batne ke liye Sacha Dost chahiye, Jiske pass Sacha Dost hai Use jindagi mein aur Kya Chahiye!!!
Jab kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Teri Khushi se na sahi gam se bhi rishta hai mera, yeh jo tere zindagi hai who ek hissa hai mera, e dost tujhse lafzon ka nahi, ruh ka rishta hai mera.