Na janay kyon wo mujhse muskura k milta hai, Ander k saray gham chupa k milta hai, Janta hai ankhein such bol jati hain, Shayed isiliye nazrain jhuka k milta hai.
Hum fijao ke rukh ka injar nahi karte, hum barish ke thamne ka injar nahi karte. jab dil karta he ker dete he sms, hum kanjoso ke sms ka injar nahi kerte
Jise paa nahi sakte use hi pane ko ji karta hai, Toot jate hain hum phir b umar bhar jine ko ji karta hai Kaise keh dein apna nahi paraya hai wo, Jise har lamha pyar karne ko ji karta hai
Saagar me lehron ki tarah aajaao, Baagon me bahar ki tarah aajaao, Raat me chand ki tarah aajaao, Jo bulaane se aata nahin, Zindagi me meri uss PYAAR ki tarah aajaao.
Samundar ki ret pe naam kabhi likhte nahi, Ret pe likhe naam kabhi tik te nahi. Aap kehte ho ki tum patthar dil hai, Par patthar pe likhe naam kabhi mit te nahi....
Aapke shaher me kaali ghata to chati hogi, phoolon ko thodi si sharam to aati hogi, aap lakh chupaye duniya se magar, akele me hamari yaad to aato hogi...
Is qadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye, Kyun ho khafa yeh bayan toh kijiye.. Kar dijiye maaf agar ho gayi koi khata, Yuhi yaad na kar k saza toh na dijiye..!!!!
Teri yaad main aansoon ka samandar bana liya, Tanhai k sehar main apna ghar bana liya, Suna hai log pujtay hain patthar ko, Isi liye dil apna patthar bana liya.
Julm-e-sab ko sitaron se sawaara humne kitni raaton ko tujhe uthkar pukara humne, jab kabhi haath se ummed ka daaman chuta le liya aapke daaman ka sahara humne,
Dunniya badal jayegi tum na badalna, Muskilo ma ho jab bhi yaad hamahe kar lena Mange bhi aapse to kya mange? Dena kuch chaho to bas Muskura dena......
Gulshan ki baharon me, In mehki fizzaaon me, Jab aap humko dhundenge, To aapki aakhon me nami hogi, Sab kush hoga aapke paas, Bas ek hamari hi kami hogi.
zindgi choti hai magar itni choti bhi nahi Aankhen sookh gayi hai aur ab roti bhi nahi zara zara si baton pe agar hum na jhagarte to shayed yeh zindgi tumse juda hoti bhi nahi
Ik ummid se iss duniya mein jeeye ja rahe hai apne dil se tujhe pyar kiye ja rahe hai zamane ki mujh ko khabar hi nahin tera naam har pal liye ja rahe hain.
Pucha kisi ne hal badi muddat ke bad, aaya mera khyal badi muddat ke baad. karta to he wo yaad mujhe chhat se mgar, hota he ye kamal badi muddato ke baad.
Na jaane kitne aansu bahe tere intezaar me, Par ab tere sang muskuraane ki chahat hai. Apni har ek khushi tere naam kar, Tere saare ghum apnane ki chahat hai.
Yun to P.C per bahot baar dekha tuzko, Ab teri nazro se nazar milane ki chahat hai. Tum to bas chuke ho is dil me, Par ab tere dil me dhadakne ki chahat hai.