jab koi dil tod de to pass mere ana hum tab bhi tumhe itna hi pyar karenge, aaj gujar gaya hai din tere intejar mein magar kal bhi hum tera yun hi intejar karenge.
Tanhai me jab jab teri yaadon se mila hoon. Mahsoos hua hai ki tujhe dekh raha hoon. Aisa bhi nahi hai ki tujhe yaad karon main. Aisa bhi nahi hai ki tujhe bhool gaya hoon.
Har khasti ka kinara nahi hota... Jise karte hai pyaar woh hamara nahi hota... Rota hoga sagar bhi kisike intezarr mai, warna sagar ka paani khara nahi hota
Aapke Deedar Ko Nikal Aaye Hai Taare, Aapki Khushboo Se Chha Gayi Hai Bahare, Aapke Saath Dikhte Hai Kuch Aise Nazare, Ki Chhup Chhup Ke Chand Bhi Bas Aaphi Ko Nihare.
hume to wafa ki saja mili tu kyun rota hai, mujh badnaseeb ke liye kyun apne ansu khota hai, bs ek gujarish sun na dil lagana kabhi, dil toota hai jab to dard bada hota hai.
aasma ka chand to badlon mein chhup jayega, jab hategi ghata tab najar ayega, humne to ghar banaya hai apke dil mein, apka ye chand apko chhodkar kahan jayega.
Ajanbi se mulakaat kya ki kayamt ho gayee,Ek hi pal main hame ye khabar ho gayee,Ab to uske bina do pal jeena mushkil hai Kyonki DOSTI ka irada tha aur MOHOBBAT ho gayee....
kya bataen ke kis kadar marte hai hum aap par, dil hi nahi ye jaan nyochhawar karte hai hum aap par, magar aap ko bhi hai ghamand apni mohabbat par, isiliye to sajda karte hai hum aap par.
"Yadon ka ye silsila banaye rakhna,dost kaha hai to dosti banaye rakhna.Jaan to nahi mangenge aapse,Par guzarish hai ki jaan k jane tak dosti banaye rakna
wo kehta tha k TERI MUSKAN JINDAGI hai MERI, tu PYAR se dekhti hai to chalti hai SANSEIN MERI, magar kya aaj aankhein meri shole ugalti hai, jo dekhne se bhi katrate ho SURAT MERI.
usne aaj meri mohabbat ko badnaam kiya hai, tanhai mein nahi sareaam kiya hai, fir bhi duain deta hai usko ye dil, kyunki humne to ye dil bs usi ke naam kiya hai.
ye dil ke jajbat hai inhe jhootha na samjho, hum thode se khafa hai hume rootha na samjho, bs ek baar dekhkar muskurado hume, khud pighal jayenge hume patthar na samjho.
Jaate-jaate tum koi achi nishaani de gaye, Umra bhar dohra saku aisi kahani de gaye, Khair ham to rah gaye pyase, Par hamaari palko ko tum pani de gaye.
Maayoos to hu magar hona nahi chahta, Kya karu main use bhoolana nahi chaahta, Jaanta hu wo bekhabar hai mujhse, Phir bhi uske khyaal ko dil se mitana nahi chaahta
Ae khuda apne chaand pe itna guroor mat kar, Ek chaand sa dost ham bhi rakhate hai, Jab taarif hoti hai tere chaand ki, Log misaal mere yaar ki dete hai!