Toota hai dil par tooti nahi hai aas, Num hai palke magar phir bhi chal rahi hai saans, Chahe ho jitne bhi gum par yeh dil nahi hai niraash, Aur khushi ke pal lautenge dil ko hai pura vishwas.
Nadi k ghat par agar siyasi log bas jate, To pyase hoth do do bund k liye taras jate Ganimat he ki mausam par unki nahi chal sakti, Varna sare BADAL un k khet par baras jate.
Jab joban me aapki jorurat aati hai, Hontho pe ek hi fariyad aati hai... Khuda aapko har khushi de, Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai
Mushkil is dunia me kuch bhi nahi, phir bhi log apne irade tod dete hai, agar sacche dil se mango kuch, to sitare bhi kisi ke liye apni jagah chhod dete hai.
Sooni rahon me intzar karta hu, Jo meri nhi hai us zindagi se pyar karta hu, Bada haseen ek khwab hai yeh duniya, Hkikat janta hu fir bhi hkikat se darta hu..
Aitbar Kissi Ajnabi Par Kya Nai Karte Kissi Bedil Ko Dost Bnaya Nai Karte Ye Afsane Sirf Khawabon Mein Ache Lagte Hain Haqeqat Mein Unhen Badla Nai Karte…
Lamhein ye sunhrein kal saath ho naa ho Kal mein aaj jaise baat ho naa ho Par teri yaadon ke haseen pal dil mein rahenge tamaam umr bhar Chahe phirse apni mulaaqaat ho naa ho
Mousom baldalta hai to bolke badalta hai, Koi humain yaad kar k khud ko rulata hay, Dil nahi samajhta magar ye tu such hay, Shiddat se yaad hamain bhi koi aata hai
Yaadon Ki Raho Main Kabhi Akelapan Na Mile, Aai Dost Zindagi Main Tumhe Kabhi Gum Na Mile, Dua Karte Hain Hum Khuda Se, Tuhme Jo Bhi Dost Mile Hum Se Kam Na Mile.
Aj khuda se meri mulakat hui, thodi hi sahi par bat hui maine aap k bare me puchha ye insan kaisa hai khuda bola sambhal k rakhna bilkul mere jaise hai.
Main aur meri tanhayee, baithe hai hum do bhai Le ke haath mein ek kadak adrak-pyali chai Cha raha hai dil aur dimaag pe ab bus unhi ka khayal Than-thana raha hai yeh haath, jaise kar diya kisi ne isse ghayal.
Badi haseen si ik saza hain zindagi, Kehne ko to bs mza he mza hai ye zindagi, Hr din hr sans hote jate hain khatam, jane kitne din Kitne pal hai ye zindagi..