Mujhe ishq me dil lagana nhi aata, kisi ki yaad me aansu bahana nhi aata, hausla to bahot hai mujhme kisi ko chahne ka, bs mujhe is hausle ko aajmana nhi aata.
Waise akele hi aaye hain aur akele hi jana hai Kaisa bhi ho bandhan ek din to toot jana hai Koi kitna bhi rahe pass ya kitna bhi rahe door Sukh dukh ka jalwa apne hi mann ka afasana hai!
Aankhen hi bana deti hai fasaanaa kisi ka Aankhen hi bana deti hai deevana kisi ka Aankhen hi hansa deti hai aankhen hi rula deti hai Aankhen hi basa deti hai gharana kisi ka.
Raat ko jab nikle to rasta viran tha, 1 taraf aabadi thi 1 taraf qabristan tha, Har qabr se ek hi bayan tha, Dekh ke chal musafir kabhi main bhi insan tha. ..
Kash hamari bhi parwah kisi ne ki hoti, to ye duniya hamse ruswa na hoti, agar aata aap jaise bhi muskurana humain, to hum se bhi mohabbat kisi ne ki hoti..
Bada bedard tha zalim, mujhe majboor karta tha, main jitna paas jata tha, vo khud se door karta tha, khuch aisa pyar tha hum me, ya koi khas rishta tha, saza mujko he milti thi, jo vo kasoor karta tha..
Kisiko Yun Rulaya Nahi Karte, Jhoote Khwab Kisiko Dikhaya Nahi Karte, Agar Koi Aapki Zindagi Main Khaas Nahi Hai, To Usse Reh-Reh Kar Ye Ehsaas Dilaya Nahi Karte…
Koi kehta h kushiyo se zindgi asan ho jati h or gam se zindagi viran ho jati h.Lekin gam to ek imtihan hota h, jisme apne or begano ki pehchan ho jati hai.
Nigaho pe nigaho ke pehere hote hai. In nigaho ke ghav bhi gehere hote hai. Na jane qkoste hai log badsurato ko, Barbad karne wale to khubsurat chehre hote hai.
Khuda to ek tha majhab hmare chaar ho gye, Khuda k naam k pakhandi bhi ab hazaar ho gye, na ab koi khuda koi majhab na ab koi khudai hai, Dukane khol li humne hum thekedar ho gaye...
Nazro se door hai dil se door mat karna, Hum jaise b hain hume waise hi kabool karna, Hum mein laakh buraiyan sahi Par inhi k bahane hume yaad zaroor karna.
Hum jab bhi apki duniya se jayenge itni khushiya aur apnapan de jayenge .... K jab bhi yaad karoge iss pagal ko hasti ankho se bhi ansu nikal ayenge .....
Andhiyon me jalta ik chirag hu main, jane hava k kis jhonke se bujh jaunga main, Jala k khud dikhata hu rasta khud ko, jo bujh gya to andhiyon me bhatak jaunga main..
Har koi mujhe barbad karne ki zid me hai sayad koi mujhe aazamane ki zid me hai jiski chahat hai mujhe etni shiddat se wahi wahi mujhe bhool jane ki zid me hai.
Yado ke gahre Zakham ajeeb hote hai , Apno ke sath bitaye lamhe aziz hote hai , Sada taza rahti hai yaade unki , Jo Nazaro ke nai Dil ke kareeb hote hai