Koi Sach Ki Raah Pe Chalta Hai Koi Jhoot Ki Rah Pe Chalta Hai Kiye Dost Ne Kuch Gunaah To Kya Eh Khudah Sunah Hai Ki Yeh Jahan Tere Hatho Se Chalta Hai
Meri Khamoshiyo Mein Bhi Fasana Dhundh Leti Hai Badi Shatir Hai Dunia Bas Bahana Dhundh Leti Hai Haqikat Jid Kiye Baithi Hai Chaknachur Karne Ko Magar Har Aankh Phir Sapna Suhana Dhundh Leti Hai.
Itne haseen khwab na dikho mujhe. Khwabo ko ek din Toot jana hai. Mana ki akhiri sans tak to main sath hu. apke Lekin saans ko bhi ek Din Toot Jana hai.
badal garajte hain, barsaat hoti hain khush hote hain log, badal barbad hote hain dekar khushi logo ko, woh mit jaate hain Log unhe yaad bhi nahi karte aur muskurate hain
arey har baat ka jawaab diya nahi jaata vishwas ho to dosti mei shak kiya nahi jaata pyar ya umar bhar saath nibhane jaisa sawal bina soche samjhe har ek sei kiya nahi jaata
Dekho suraj se luka-chipi koi khel raha hai, Sard mausam hua, dhund ka baadal jhoom raha hai, Dhoop ab ho jaayegi sabko bohot pyari, Dekho har ek usi dhoop ko dhoond raha hai !
jaisi ho hawa waise he rukh kar lena pyar se jo bulaye ijjat usey baksh dena apni aur se na karna kabhi koi gustakhi auron ki bhulon ko jayada aihmiyat na dena
koi jo kare bewafai tum vafa he bartana doston ki madad sei kabhi peeche na hatna karke burai kisi ki apni nazar se na girna baaki hai apna apna naseeb yaaron jo likha hai usney wo humhe hai bhukatana.
Khamosh raat hai saahilo ka saath hai koi dil ke kareeb toh kisi ke dil paas hai Safar tanha hai phir bhi dil me kaee jazbaat hai kabhi khushiyon ki mehfil kabhi gam ki barsaat hai yehi hai zindagi kahi mehekti subah kahi andheri raat hai.
Na jaane jindagi hame kis mod par le jaaegi shayad umr bhar ki khushiyan ya aansu de jaaegi na milne vali manjil ki talash me chale hai ham agar upar vale ki rahmat hui to vo bhi mil jaaegi.
dil todke tumko bhi raahat na milegi, mujh jaisi kisi aur ko milne ki chaahat na milegi, barbaad hokar bhi tera bura na chaaha, dil cheer ke dekh lo kabhi nafrat na milegi.