Kyu satate ho hume begano ki tarha,
kabi to chaho chahne walo ki tarha,
hum me thi kmi jo apko hum yaad na aye,
aap me thi kuch baat jo hum aapko bhul na paye
shabd kam pad jaate hai aapki husan ki tarif mein
waqt kam pad jate hain aapke didar mein
kya karein aap hain hi aaisi ki najar jhuk jati hai aapke pyar mein.
Jamane se nahi to tanhai se darta hu, Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me, Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.
zindagi itni jiyo jiski koi had na ho,
bharosa itna karo ki koi shaq na ho.
intazar aisa karo ki koi waqt na ho,
aur pyar aisa karo ki na mile to bhi nafrat na ho.
Pyar kiya to unki mohabbat nazar aayi
Darad hua hume to palke unki bhar aayi
2 dilo ki dhadkan me 1 baat nazar aayi
Dil to unka dhadka par awaz is dil se aayi.
Har wakt tere aane ki aas rehti hai, Har pal tujhse milne ki pyaas rehti hai, Sab kuch hai yahan bus tu hi nahi, Isiliye shayad yeh zindagi udas rehti hai…
Mahek kya hoti hai fizao se pucho, Pyar kya hai mere dil se pucho, tadap kya hai meri diwangi se pucho, hum kitne tanha hai tere bina ye, bhari mehfil se pucho.
Mohabat na hoti to gazal kaun kheta,
kichad k phool ko kamal kaun kheta,
pyar to mohabat ka karishma hai,
varna patthar k mehel ko tajmahal
kaun kheta.
Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein, Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi, Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai, Mere liye apna chain bhi gawanti hogi