Lamha lamha intzar kiya us lamhe ke liye or woh lamha aya bhi to bus ek lamhe ke liye,guzarish yehi hai khuda se ke kash woh lamha fir aye 1 lamhe ke liye.
who hai zalim kahte hain ki hua kya hai, jal raha dil aur kehte hain ki dhuaan kahan hai mar gaya aashik aur kisi ne tawajjo na ki, unki nazaro ke teer chalte hain to gilah kya hai
Mere aane ki aahat pe shama jalai hogi... kabhi judai ke gum se aakh bhar aai hogi... fikar na kar mere yaar... us rabne milne ki koi to sham banai hogi...!
Zindagi me kuch na mila humko to kya gam hai, Aapki dosti mili humko ye kya kam hai, Aapke dil me ek chotisi jagah jo pa lu, To woh jagah TAJ MAHAL se kya kam hai
anjam janata tha magar is dil ko samazana saka janata tha inkaar karoge, magar ikaraar kiye bina rah na saka door hokar tumse ji na sakoonga phirabhi apne jasbaato ko tumhe kabhi samjha na saka
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
chakh liya zaayeka-e-shayari jab se, lafzon me tarannum si aa gayi hai, arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai....!!!
jee chaahta hai tumse pyari si baat ho, khaamosh taare aur lambi si raat ho, phir saari raat tumse hum kahte raheN, ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon, waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon, tum paas ho to is raat se ek raat chura loon, tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi, Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi, Is umar key sehra say teri yaad ka baadal, Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi,
Nikalte hai ansu jab mulakat nahi hoti, tut jata hai dil jab bat nahi hoti, apki jaan ki kasam jab aap na yaad aye, esi koi subha esi koi raat nahi hoti.