Khud pe jo tha aitbaar jhutha nikal gaya Dariya mere kayaal se gehra nikal gya Kbi bata diya tha kisiko apna pata meelon meri talash me rasta nikal gya.......
Apni yaado’n ko, mere ghar pe, barasta dekho! Aik aahat pe, mere dil ko, machalta dekho! Lagi hai aag, judai ki, kitni shidat say Aik pal ke liye aao, mujhay jalta dekho!
farz to hum bhi nibhayege….. yaar ki yaad ayegi to…… ankh se anshoo gir jayenge….. jab koi dard unke pass jaye…… to haan kar unko hum apne dil se sahjaye……
Na koi hamdardi jatanewala hota hai, Na koi dilo ka haal poonchnewala hota hai, Fakht gareeb hona hi kasoor hai kisi miskin ka, janaja bhi use khud ka Aap uthana hota hai.
Ke har insaan ishq mein presaan mila hai, aaj ishq mein hume asq inaaam mila hai, dar hai ki mohabbat na ho ab kisi ko, kyonki iski saza hume sre aam mila hai…
BHOOLANA TO CHAHA PER BHOOLAYA NAHI, HUM NE WAASOU SE APNA DAMAN CHURAYA NAHI, JUDA TO HUE PER MILNE KI TAMANNA BAQHI HAI,ISI LIYE DIL KISI OR SE LAGAYA NAHI HAI….
Tanha akele jab teri yaad hoti hai Veerane dil me aahat si hoti hai Dhadkano me hich kichahaat si hoti hai Jab bi dhoonda humne aashiyana ashiquie ka… Aankho me aashko ki barsaat si hoti hai….!!
Ek panchi ke dard ka fasana tha, tute they pankh aur udte huye jana tha, toofan to jhel gaya par hua ek afsos wahi daal tuti jispar uska ashiyana tha ..!
Rakh Kar Sogaye Unki Yaad Koun Piya Tha, Koun Jeeya? Bhed Naa Paya Saari Raat Woh Yaad Aaye Jinke Aansoo The Gham Ki Kahani Mere Saamne Baith Ke Roye Dukh Naa Bataya Saari Raat
Woh Sham Woh Rukhst Ka Sama Yaad Rahega, Woh Shehr Woh Safar Woh Makan Yaad Rahay ga, HUm Bhool Sakay Hain Na Tujhay Bhool Sakeingay, Tu Yaad Hai Yaad Tha Aur YAad Rahega…!!!!
Jab Taq WOh Sirf Mera Tha Anmol Tha Sab Se, Juda Jo Hua Mujhse Toh Aam Hogaya, Dukh Toh Yeh Hai K Woh Shakhs Kissi Ka Na Hua, Bas Shohraton K Shoq Mein Badnaam Hogaya…..
Shamil hu khel me faqat teri tafreeh k liye, Baazi toh badi der se main haar chuka hu, Gira de tere Pass Jitna bhi Pani h E-Badal, Ye Pyas to ab Kisi k Milne se hi BhujeGi
Toot jaye na bharam hont hilaoon kaise Haal jaisa bhi hai logon ko sunaoon kaise Wo rulata hai rulaye mujhe jee bhar ke Meri ankhein hai woh, main us ko rulaoon kaise
Zindagi ne mujhe bahut kuch sikhaya Thanhayi mein jeena sikhaya, Pyar ko chupana sikhaya, Doston se haske milna sikhaya, Aur man hi man rona sikhaya, Ab kya kahunZindagi ne bahut kuch sikhaya Magar jeena nahin sikhaya
Dil zindagi se bezar hai malum nahi kyon, Seene me saans hai malum nahi kyon. Iqrarewafa yaar ne har ek se kiya, Mujh se hi bas inkar hai malum nahi kyon.
Youn Kabhi Tabaahi Ka Jashan Mana Lete Hain Apni Palkon Peh Sitaron Ko Saja Lete Hain Tum To Apne The Zara Haath Badhaya Hota Ghair Bhi Doobne Wale Ko Bacha Lete Hain…