Chahat Hai Mout Ki Jo Pas Nhi Aati, Tamanna Hai Jis Khusi Ki Wo Raas Nahi Aati, Udas Ho Gai Zindgi Rote Rote, UnKi Kuch Yade Hai Jo Tadpane Se Baazz Nhi Aati.
Is se zyada kya rakhte hai chahat ki umeed,mita diya khud ko tumhe paane ke liye,mar kar bhi na bhool payenge hum,aankh to bandh ki hai sirf zamane ke liye.
M Jiska Hu Uska Ho Na Paya, Aankho Me Aansu The Mgr Ro Na Paya, Ek Roz Usne Kaha Ki Hum Milenge Khawabo Me, Or Meri Badkismati Dekho Usi Din Se M So Na Paya.
Ab to zamane ke rasmo rivaaj bhi badal gaye Hum jinhen chahte the un ke mizaaj bi badal gaye Jate jate wo hm se kehny lage Badal jao tum bhi dekho hum bhi badal gaye
Dard-e-Dil Judai sehna ahsan nahi hota, kimti cheez ka haar koi kabil nahi hota… yeh toh Raab ki meherbani hai, warna Dost harr kisi ke nasib maiN nahi hota
unke paas humare liye nafrat bhi nahi mohobbat bhi nahi us shaks ko humse koi shikayat bhi nahi shayad hum ji nahi sakte unke bina aur unhe shayad humari zarurat hi nahi
Aarzu yeh nahi k gum ka tufan tal jye,Fikr to yeh hai k tumhara dil na badal jye,Kabhi bi mujh ko agr bhulna chaho tum,To drd itna dena k mera dm nikl jye.
Zindgi ke safar ko lafzo mein piroya hai, Apni har gazal ko dard mein bhigoya hai, plz aaj wah wah na kehna, kyun ki aaj fir ye dil kisi ki yaad mein roya hai
Meri Zindagi Ghamon Se Ho Gayi Hai Taar Khushiyan Bhi Mere Kareeb Nahi Aaati Zamane Bhar Ka Zeher Pee Liya Humne Jaan Hai Ki Kambhaqt Nikal Nahi Jaati…
dil me lagi aag ko mitau kaise yado me jalti rakh ko bujau kaise wo to hume angaropar tanha chhodkar nikal gai thi kis tarah jita hu roz unpar ye use batau kaise
Is nind se hamara koi talluq hi nahi barson tk Fir ye khwab aake hamari chat pe tahalte kyun hai Ik wqt hota hai is mod per jawani ko sambhalne ke liye Aur fir sabhi log esi mod per aa ker phisalte kyun hai
Hame koi kahe bura to bhi hum Jee lete hai Hum dua dekar uske honton ko see lete hai Hamare dil me Dard ho chahe kitna bhi Zehar ka ye pyala chupke se pee lete hai