Samjha hota agar tune dil ke armano ko To moka na milta paas aane ka begano ko Ho jati khabar hamare pyar ki gehraiyon ki Har gali har nukkad ke deewano ko
Mohabbat ki daastaan sunaane aaye hai, tabaah karne ke baad wo pyar jataane aaye hai, aansu poch liye the humne kab ke, magar wo fir se humein rulaane aaye hain.
Kabhi usne apna hame banaya hi nahi, jootha hi sahi pyaar jataaya hi nahi. kasoor apna hum maan bhi jaate, par kya kare kasoor hamara hume btaya hi nahi.
kisi k khayalo m hmara chehra nahi aaya chand n b hmko aj uhi bhula diya koi tara b hme ab tuta hua nahi dikh raha lagta h aj kisi apne n hme yad nahi kiya
Woh To Deewane The Jo Tanha Chhor Gaye Wo Na Ruk Sake To Ankho Mein Apna Saaya Chhor Gaye Hume Gham Hai Is Baat Ka Ke Woh Dil Se Kiya Wada, Hathon Se Tor Gaye…
q aankhe phir bhar aati h bhahot rone k bad jina phir b padtahe sab kuch khone k bad socha aaaj hi sabko apna salam bhej du kya pata kal meri subha hi na aaj sone k bad
Mohabbat ki thi humne unse, apna banane ke liye Magar thokare hi thi naseeb mein, is deewane ke liye Humne to khuda se bhadker ibadat ki thi unki Phir bhi chod gaye akela tadap ke mar jane ke liye
Mere dil ki aakhiri tamanna hai yaro Sada likhta rahu Khoon-E-Zigar ki shyahi se Mein to tabhah ho chuka hu is mohabbat mein Auro ko bachana chahta hu mohabbat ki tabhai se
Kuch waqt pehle hame b zindagi ne azmaya tha, ek shaks k sath humne b hasta hua pal bitaya tha,rota hua chod gya to kya hua, hasna b to usi ne sikhaya tha.
Mohabbat mein jab se dhoka mila hai humko Kasam khuda ki kisi par aitbar na raha Halat kuch is kadar kar dali dewaane ki Jo hume apni zindagi se bhi pyar na raha
JANE KYA MUZHSE ZAMANA CHAHTA HAI.. MERA DIL TODKAR MUZHE HANSANA CHAHTA HAI.. JANE KYA BAAT CHALAKTI HAI MERE CHEHRE SE... JO HAR SHAKS MUZHE AAZMAAANA CHAHTA HAI!!!!!
Hak jataye tujh per koi gair, Hum seh nahi sakte Per bura bhi tujhe hum keh nahi sakte Teri marji tu bulaye ya na bulaye Per tujhe bulaye bina hum reh nahi sakte
nafrat thi to izhaar kyon kia. dena tha zaher to pyar kyon kia. de kar zaher kahtey ho peena he hoga. jab peegaye zaher to ab kahtey ho ab jeena he hoga.
Bicchad gaye hain jo unka sath kya mangu Zara si umar hai gum se nijat kya mangu Woh sath hote to hoti zarurate bhi hme Akeli jaan k liye kyanat kya mangu.
Zaroori to nahin Jeene ke liye sahara ho Zaroori to nahin hum jinke hain vo hamara ho Kuch Kashtiyaan doob bhi jaati hain... Zaroori to nahin ke har Kashti ka koi kinara ho....
Ek pal main sadiyon ka maza hum se poocheye do din ki zindagi ka maza hum se poocheye bhoole hain rafta rafta unhe muddaton me hum kistoon main khudkushee ka maza hum se poocheye
Aakhon mein aakar ruk jate hain aasun Palko pe aakar ruk jate hain aasun Bada dil karta hai inhe baha dene ka Par tujhe hasta dekh kar sukh jate hain aasun.
hum apni wafa ka yakin tumko dila na sake tumse gaye door kya, fir paas aa na sake Iss kadar toot kar chaha tujhe key tere baad hum kisi aur ko chah na sake
Kya pata uski koi majburi hoUse bewafa khun zaruri to nahiPyar use kisi or se bhi ho sakta haiSirf mere sath ho zaruri to nahiSapne har insaan dekhta haiHar kisi ke sapne purey ho zaruri to nahi