Apke shehar ka mausam suhana lage, Apki ek shaam chura loon agar bura na lage, Ap chaho to bhula do mujhe, Par apko bhulane mein shayed humein zamana lage.
Hum unse or woh humse juda ho gye, Aa gye woh mere janaze mein to saare wade wafa ho gye, Jhuk kar usne meri kabr se kaha, Aap to sach me hmse khafa ho gye.
milta nahi hai pyaar aasaani se zindagi mein, mera naseeb bhi kabhi khula tha… par ab toh dil mein pathjhad hi hai, fir bhi aisa lagta hai ki tum aayethe kal bahaar banke meri zindagi mein…
Ajnabi rehna per kisi ka intzar mt krna, kisi k pyr k liye khud ko bekrar mt krna, accha sathi mil jaye to hath tham lena, per dikhave k liye kisi se pyar mt krna.
Roshani kar na sake dil bhee jalaaya humne Ay khuda chun ke mukaddar apana paya humne Tapate dil ko kisi aur bhee mil paayee na raahat Saawan aankhon se bhee ek umr bahaaya humne
Apki aarzu meri zindgi ka vo khwab hai, jiski manjil hi nhi raasta bhi kharab hai, hasi se mere jakhm ka andaza na lagana, is dil ka har panna Dard ki kitab hai.
Yaad bahut aaoge jab chhod ke jaoge, Royenge bahut magar aasu nahi bhayenge, Jab satth na de koi aap ka to aawaz humein dena , Aasma par bhi honge to lot ke aayenge.
Dosto ne dil ka haal batana chod diya, Hamne bhi gaihriy me jana chod diya, Jab unhe hi hamari kami ka ehshas nahi to, Hamne bhi ehshas dilana chod diya,
Aankhe Taras K Ro Padi Na Unka Koi Paigam Aya, Chale Gaye Akela Chod Ye Kaisa Mukam Aya, Meri Tanhai Muskurai Mujhpe Or Boli Bata Mere Siva Kaun Tere Kaam Aya,
Aa tu ke daud ke lipat jaa seene say humare Phir ishara iss taraf say hoga, yeh umeed na rakh, Ki ek baar mohabat ki beekh maangi thi tujh se Baar baar sar mera jhukega, yeh umeed na rakh,
Na acha kiya tune iss dil ko thukra ker Tujhko na koi thukrayega, yeh umeed na rakh, Bohat he tadpaya gam ne tere humko magar Hum yun ghut ghut ker mar jayenge yeh umeed na rakh..
BadaSath Dene Ka Vada Kiya Tha, Sikwa Sehne Ka Vada Kiya Tha, Agar Wo Hume Bhulakar Khush Hai To Koi Gham Nahin Kyunki Humne To Unko Khush Rakhne Ka Wada Kiya Tha.
Toot jayen khwab to judne ki aas kya rakhna, palko ke bhigne ka hisab kya rakhna, bas isliye muskura lete hai hum, ki apni udasi se kisi ko udas kya rakhna
Shikayat hai tumse dil ki hamari. kya ab yaad nahi aati tumko hamari. bhul hi gaye hame shayaad tum. ya fir tum yaad karte the ye galat fehmi thi hamari.
kuch log aapne gamo me khojaya karte hai holi ho diwali ho geet gaya karte hai ye duniya ushi ke sath chalti hai yah waqt ushi ka hai jo dil me dard chupakar bhi muskuraya karte hai