IshQ ke rahooN maiN gar wafa na nibha saka Tu mout se badh kar mujhe koi aur sazaa dena Teri ek pal ki bhi judai naa ab seh payege ESHA Meri khawabo se jakar mujhe shayar na banaa dena
Uski hasrato me gujaare din, Uski chahto me gujaari raatein, Yaad aa rahi hai jo, wo ussi ki hai mulakaatein, Khud kare kuch aisi ho barsaatein, Bheegey hum, Bheegey woh aur dhul jaye sari yaadein.
Dil ko aadat see ho gayi hai chot khaane ki, Bheege palko k sang muskurane ki, Kaash anjaam hum pehle he jaan lete, To koshish b na karte tumse dil lagane ki.
Kuch door hamare sath chalo hum dil ki kahani keh denge, Jo baat samajh na paye tum wo baat zubaani keh denge, Hum zikr karenge auro ka aur kahaani apni keh denge.
Meri tanhaiyan karth hai jinhe yaad sada, unko b meri jarurat ho jaruri to nahi, Muskuraane se b hota hai byaan Gum-E-Dil, mujhko Rone ki bhi Aadat ho Jaruri to Nahi!
Kisi dard ko sambhal pana aasan nahi, Haste huye har pal ko bita pana aasan nahi.. Zindgi me har koi dil me nahi bas pata, Aur us base huye ko nikaal pana aasan nahi..
Unko b humse waish he mohabbat ho Jaruri to nahi, Ek see dono ki haalat ho Jaruri to nahi, Dil ki chahat to kai Khwaab jaga deti hai, Haan magar saath me kismat b ho jaruri to Nahi!
Hum wafa karke b akele hai, Woh bewafai karke bahut khush hai, Dukh is baat ka nahi ki unhone bewafai ki, Dukh to is baat ka hai ki humne wafa kyun ki!
Ashk girtey hain to har saans pighal jati hai De ke ek dard naya, sham bhi dhal jati hai. Tujko seene se laga kar mile jannat ka sakoon Tujhse bichdoon to, meri jaan nikal jati hai.
Apni kismqt pe hairan hain hum, Kabhi khush to kabhi pareshan hain hum, Kis-se dil ka haal kahen, kis-se dard batayen Yun to saare apne hain lekin fir bhi tanha hain hum...
Hansne ki umeed thi to muskura uthe, Jindagi ki umeed thi to ji uthe, Kya pata tha duniya mein sabhi Naqab pehne ghumte hain, Hum to khilne se pehle hi murjha uthe.