Sona chahta hun per neend nahi aati hai, Badal badal ke karwate yunhi raat guzar jati hai, Kar bhi pyaar ka izhar ya jaane jigar, Akhir kyon tu mujhe itna tadpati hai
Dard itna tha ki sehan na hua Margaye unki raha hon mai Magar unko gum na hua Khete the hume Chahte hai jaan se zyada Yeh wada marte dam tak pura na hua.
Marna hai maro apne watan ke liye Kyu marte ho ek raat ki dulhan ke liye Yakeen na ho toh dil mein jhanko ek dafa Kisi aashiq ki laash padi hai ek kafan ke liye
Dil ki baat ko izhaar kehtay hain, Jhuki nigaahi ko ikraar kehtay hain, Sirf paanay ka naam mohabbat nahi doston, Kuch khonay ko bhi pyaar kehtay hain.
Door ja kar bhi unse dur ja na sake, Kitna aansu gire kisi ko bata na sake, Gam ye nahen ke woh mil na sake , Dard serf ye he k hum unko bhula na saka.
Judai mein har dil rota hai, Milne ke har aas mein jalata hai, Pyaar mein kabhi koi juda nahi hota, Woh to hoti hai majburiyan , Ki unko saccha pyaar nahi hota.
Kash humne ki na hoti mohabbat uss bewafa se, To aaj hume wafa ke badle bewafi mili na hoti, Chahate toh aaj bhi unhe aapni jaan se jyaada, Magar woh wafa nahi samjhti.
Khyalon mein wahi, Sapno mein wahi, Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi, Hum jaagte rahe duniya soti rahi, Ek baarish hi thi, Jo humare saath woh rahi.
Pal pal saanse thamne lagi hai, Zindagi maut ke pehlu mein sone lagi hai, Uss bewafa se na pooch meri maut ki wajah, Woh toh bas zamane ko dikhane ke liye ro rahi hai!
Jab koi apna kisi apno se rooth jayega, Sheesa ho ya dil ho toot jayega, Meri maut ki wajah ka jikra karna na kbhi tum, Waffa ke naam se logon ka bharosha uth jayega.
Zindgi jab bhi teri bahon mein lati hai hamein, Yeh zaami chand se behtar nazar aati hai hamein, Har mulakat ka anjam judai kyon hai, Aab to har waqt yahi baat satati hai