Leke hum dusro ki hasi kya kare, Jo apni nahi woh khushi kya kare, Tanha jine se behatar hai mar jaye hum, Jab saath tum nahi toh zindagi jikar kya kare
Zindagi kuchh adhuri si lage tere pyaar ke bina, Munasib nahi hai jeena mere liye tere saath ke bina, Chhodkar teri chahat..Parai lage dunia saari, Is dil ne seekha nahi
Phir yaad aayi tanhai raato mein tumari, Saansein rukh sakti hai par yaad nahi ruk pati tumari, Kiya khata tha mera dharkan aur aankho ka, Jo app ke bina kuch nahi dektha
Jo aksar kaha karte the hume apni jaan, Aaj unke dar par sar jhukaye baithe hai ! Kuch to saza de wo hame hamari wafaaon ka, Jo aaj kisi aur se dil lagaye baithe hai !!
Zindagi mein mohabbat ka khumar kya hota hai, Dil se dilbar ka milaap kya hota hai, Tum toh bewafa ho tumhe kya pata, Ke pyaar ka haseen ahsaas kya hota hai
Jis shaks se humne rishta banaya, Ussi ne apnakar tanha chhod diya, Ke ab hum keh sakte hai, Jab bhi humne khushi ki hawa khayi, Dukh ke din samne aa gaye.
Aey sanam teri duniya aur tumhe chod jayenge, Jab hum na honge toh bahut yaad aayenge, Tum lakh chupana zamaane se ae sanam, Aansu ban ke teri aankh se beh jaenge.
Baar baar laut kar zindagi mein meri mujhe yun na sataya karo, Jaanta hoon main ki tum bewafa ho Kam se kam in bujhti nigaahon mein pani ke chirag na jalaya karo.
Aap to manzil ko mushkil samajte hain hum aap ko manzil samajte hain, bada fark he apke or hamare nazariye mein aap hume sapna or hum aap ko apna samajte
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote, Dil bhi na khota aaj tanha na rota, Diwano si apni ye halat na hoti, Agar jahan mein kambakhat, Kaash ye mohabbat na hoti.
Pathar se wafa, butt se sada maang raha hoon, Kyu aaj main sehra se ghata maang raha hoon, Mudat se koi dil ko dukhane nahi aaya, Aa jao koi zakham naya maang raha hoon,
Umar Bhar Chaha k Zamen-o-Aasman Hamara Hota Kash K Khwahishon Ka B Koi Kinara Hota Ye Soch K Us MUSAFIR Ko Roka Hi Nhi Door Jata Hi Q Agr Wo Hamara Hota
Chot khate hai aur muskurate hai, Iss dil ko sabar karna sikhate hai, Hum to gham lekar bhi yaad rakhte, Aur ek wo hai jo gham dekar bhi bhool jate hai
Mohabbat ki kashti mein sawaar thay hum, Socha tha pohoch jayenge chahat ke gaun mein, Doobne lage toh hosh aya, Hum toh beithe thay kagaz ke naav mein
Hamara toh dard se rishta purana hai, Isiliye aapke har gam ko apna mana hai, Kya kahe uss rab se ki woh the bewafa, Humne toh khud ko hi bewafa mana hai.