Jin Aankhon mein aapki Dosti Basi hai Unhe aaj Aapke Liye baraste dekha hai Kabhi Aapke saath Har Pal Guzarte the aaj Khudko un palon ke Liye Taraste Dekha hai
kehte hai riste nasha ban jaate hai koi kehta hai riste saza ban jaate hai, par riste nibhao agar sacche dil se, to woh riste hi jeene ki whajah ban jate hai.
Shiddate Gham Se Mehfooz Koi Bashar Nahi, Fir Bhi Humare Dard Ki Unko Khabar Nahi. Vo Roz Sare-Sham Nikalate Hain, Shahar Mein, Bas Meri Raah Hi Unki Raah-Gujar Nahi.
dua he rab se aapko kabhi dard ka ahsaas na de.pal koi aise na gujare jab muskilo me hum sath na de.kisi saans me hum aapko bhule.rab hame aisi saans nade.
Jab chala chor k batlanay ki zahmat bhi na ki, Khob tha dosti ek arsa nibhanay wala, Dushmani k bhi tu aadaab hain aey dost bata, Koi itna bhi na tha tujh ko batanay wala
Kabhi Vo Aakhon Mein Bas Kar Dil Mein Utar Jayenge, Us Din Meri Ummidon Ke Phool Sanvar Jayenge. Shabe Vasl Jab Ghoonghat Uthaunga To Lazakar Kahenge, Allah! Yoon Na Dekh
Vaar nahi yeh toh unki fitrat hai, Hansi toh har haseen chehre ki jaroorat hai, Naazuk sa yeh dil tufaan se takrane ki himmat rakhta hai, Sisa nahi pathar sa bana do isse
Hum Na Mile Aapse to Fariyadey Milengi Hum jo Mile Aapse To Yaadey Milengi Maut Khamosh Kar Degi Zuban Ko Magar Aapko Kadam-2 Par Humari Aawazey Milengi
Jab se FASANE HAYAAD ke chal pade, hamne hasna chaha par aanshu nikal pade,MUKADDAR me jo kami thi wo mar k bhi na nikli, jin LAKDIYON pe hum jalaye un me bhi nami nikli
Dil ki hasrat zubaan par aane lagi,tumko dekha aur zindagi muskurane lagi,yeh dosti ki inteha thi ya meri deewangi har surat me teri surat nazar aane lagi
Vaqte Rukhsaat Bhi Banke Vaqte Kazaa Aaya, Mere Hothon Per Geet Mera Banke Sadaa Aaya. Kiya Jab Charcha Kisi Ne Wafaon-Zafaon Ka, Mujhe Fir Yaad Bar-Bar Vahi Bewafa Aaya.