Dil ke zakhmo mein toh hai ek sacchai Toota tha dil yaha-To kahin baji thi shehnayi Gum ke mausam mein unhe firse humari yaad aayi Aur unki num palke dekh apni aankh bhi bhar aayi
DIL KI CHOT DIKHAU KAISE APNI MOHABBAT BATAU KAISE HAI JO DIL ME BEPANAH MOHABBAT TERI MAIN TUJHE DIKAHU KAISE TU DEKH MERI ANKHO ME PYAR TERA HI HOGA TU PUCH APNE DIL SE NAAM MERA HI HOGA
pehley mere khatt k usney, ik anjaney khauf sey darr k, tukrey tukrey kar daley, ab aik hasee.n ehsaas k taabe.ay, jiska koi naam nahin hai, darwazey ki oat mei chhup ker, tukrey jorr rahi hai pagal..
Jab Woh Apne Hathon Mein Mehdi Rachayegi Har Ghadi Harpal Bas Use Meri Yaad Aayegi Dil Mein Dard Hai Par Hontho Se Muskurayegi Bas Apno Ke Liye Woh Sab Kuchh Seh Jayeg
Dil ko muskuraye toh ho gaya hai ek arsa Dil mein nahi hui ek bhi pyar ke varsha Dil har pal hai kisi ke saath ko tarsa jaise kahi kho gayi ho is dil ki har asha
Dil to bana hai jaise tootne ke liye Ek saathi to mila tha jaise roothne ke liye Pyar ki kashti bhi chali thi jaise doobne ke liye Aur rab ne khushiyaan di thi jaise lootne ke liye
Toote hue dil se hi guzar jayegi apni zindagi In aansuon mein hi hum dhoond lenge har khushi Ab toh gum ki bhi ho gayi hai apne se dosti Aur bas khalne lagi hai jaise dard ki thodi kami
Unki Aahat Aaj Bhi Mehsus Karta Hu Main Un Lamho Ko Harpal Yaad Karta Hu Main Jinhe Pane Ke Liye Chhod Di Saari Dunia Unke Aane Ka Aaj Bhi Intezar Karta Hu Main
Gum ko chhupane ke liye muskurate hai Aansoo ko chupane ke liye palke jhukate hai Hans khel kar hum dil ko behlate hai Aur khushi samajhkar dard ko yu hi pi jate hai
Dil Mein Gum Ka Andhera Chhane Laga Koi Pass Aake Phir Door Kahin Jaane Laga Humne To Ki Thi Unse Beintaha Mohbbat Par Wo Na Jane Kyun Paas Aane Se Ghabrane Laga
Koi Aa Kar HumaiN Puchey TumhaiN Kayse Bhulaya Hai Tumhare Khat Ko AashkoN Se Shab-E-Gum Main Jalaiya Hai HazaroN Zakhm Ayse Hain Agar Siltey To Acha Tha TumhiN Ko Hum Ne Chaha Tha TumhiN Milte To Acha Thaa
Aakhon ne maangi humse khushiyaan toh nazar de di Dil ne ki humse fariyaad toh dhadkan de di Hoontho ne ki humse ummid toh muskan de di Aur zindagi ne lagayi ek aas toh apni kismat de di
Naa koi rishta naa koi shart Bas ek anjana see ehsaas Jaise jindagi odh aayi ho Ek halka saa libas Aur baahein phailaaye keh rahi ho Mujh se dosti karoge Ek umar mera sath doge Bas yahi ek ehsaas hain Jo hamein dosti ke liye prerit karta hain...
Kabhi Unse Koi Bhi Shikayat Nahi Karenge Hum Humesha Woh Khush Rahe Bas Yahi Kahenge Hum Bahot Aansu Mile Hain Unhe Pyar Ke Badle Mein Unhe Sab kuchh Mil Jaye Dil Se Duaa Karenge Hum
mujhko to kuch na karne par bhi sajaa or unko har jurm bhi maaf hai ab jakar maloom hua ki kyon achha waqt hmesha mere khilaf hai jab dekha takdir ki kitab me ki mere naseeb ka to panna hi saaf hai
TumhaiN Jitna Bhulaya Hai Tumhari Yaad Aai Hai Bahar-E-No Jo Aai Hai Wohi Khushbu Hi Laai Hai Tumhare Lab Meri Khatir Agr Hilte To Acha tha TumhiN Ko Hum Ne Chaha Tha TumhiN Milte To Acha Tha
Ab To Kismat Pe Bhi Dosto Hume Aitbar Na Raha Hum Jise Chahte Hain Usko Humse Pyar Na Raha Dil Lagaya Kisi Ne Aur Khelkar Tod Diya Usne Kya Hua Jab Wo Lamha Unhe Yaad Hi Na Raha
Dil mein hai gum aur hume hai gum se pyar Aankhon mein hai nami aur wahi hai apna shringar Dard ka hai kuch aisa alam ki jeena hai dushvar Aur saanse kab tak chalegi woh bhi nahi raha aitbar