Kuch log akhir tak wfadar nahi hote, Sath chalne wale bhi hmsafar nahi hote, Kitna khof hai sham ke andhere mein, Pucho un parindo se jinke ghar nahi hote.
Har mehfil bi royegi hr dil bi royega,
Jahan dubegi meri kashti wo sahil bi royega,
Itna pyar bikher denge zmane me hum,
Katal krke mera katil bi royega.
Mohabbat dilo ko awara bana deti hai
Gardish me rehnewalo ko sitar bana deti hai
Ye apni had me rahe to theek hai
Warna kisi ko VEER kisi ko ZARA bana deti hai.
jise mai ne chaha tha toot k pagal ki trah
aaj wo basi hai kisi aur ki aankho me kajal ki trah
ab dekh kar root jata hai mahboob mera
pahle toot k lipat jata tha aanchal ki trah
Lafzon Pe baat Aa jaye To Kya Karon? Woh Itna Yaad Aaye To Kya Karon? Hasrat Ye Hai k Zindagi Usay Bana Lon. Par Qismat Woh Lamha Na Laye To Kya Karon?
jo aansu na hote aankhon me to aankhe itni khubsurat na hoti, jo dars na hota dil me to khusiyo ki kimat pata na hoti,jo bewafai na ki hoti,waqt ne to wafa ki kabhi chaht na hoti,jo mange se mil jata sab kuch to us khuda ki jarurat na hoti...
Kisne kaha hume apki yaad nahi aati.
Apko na soche aisi koi raat nhi jati
Waqt badal jata hai aadate nahi jati.
''AAP KHAAS HO'' ye baat sabse to khi nahi jati.
Dosti me choti-2 baato ka sikwa na krna,gussa aye to kabhi gila na krna. Gila tab krna jab hum dosti tod denge q ki aisa tab hoga jab hum ye duniya chod denge.