Mere Khwabo Me Aana Unka Kasur Tha,
Unse Dil Lagana Hamara Kasur Tha,
Woh Aaye The Zindagi Me Pal Do Pal Ke Liye,
Par Unko jindgi samaj lena hamara kasur tha.
milke bichadna dastur hai zindagi ka
ek yahi kissa to mashhur hai zindagi ka
beete hue pal kbhi vapas nahi aate
bas yahi to sabse bada kasoor hai zindagi ka
Khud apne liye baith k sochenge ksi din
yun hi tujhe bhul k dekhenge ksi din
bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main
duniya ne diya vaqt to likhenge kisi din
Uske intezaar se bhala kya hoga haasil,
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte,
Rakhte ho jo dard bhara dil apne seene mein,
Dusro ka dil phir woh dukhaya nahi karte...
dosti ka rishta hum yu nibhayenge ki aapki aankhon me aapkr liye fikr chod jaaege . kal ho na ho hum is jahan me pr aapki har mehfil me apnaa zikr chod jaenge ...
Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar,
Yaado ke toofa uthayega aksar,
Zikar mera karne se pehle,
tu Kuch soch ke muskrayega aksar.
Mera Naam likh kar Kitabo main apni,
tu Logon ke dar se Mitayega Aksar,
Baatein Meri yaad ayengi itni..
Jitna tu unhain Bhulayega Aksar...
Kabhi to sab jaane pehchane lagte hai,
kabhi to apne bhi begane lagte hai,
wo hamein chhod gaye to ehsas hua,
Kabhi kabhi kisiko samajhne me zamane lagte hai…
KOI CHAARA NAHI IS DUVA K SIVA
KOI SUNTA NAHI IS RAB K SIVA
MEINE BHI ZINDAGI KO KARIB SE DEKHA HE
MUSHKILO ME...
KOI SAATH NAHI NIBHATA TUMHARE SIWA..........
Kisi ki katil adao ke hum mare hai,
isliye log kahte hai hum bichare hai,
sangam to hota hai har ek lahro ka ek hi samandar main,
phir kyu har ek ke alag alag kinare hai.
Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi.