4 phool hum per gire 4 phool unper gire
wo bhi saj rahe the hum bhi sej rahe the
farq sirf itna tha hum duniya se jaa rahe the
aur wo duniya basa rahe the.
takdir ne jaise chaha dhal gaye hum,
yu toh sambhal ke chale par fisal gaye hum,
apna yakin hai ki duniya badal gayi,
par sabka khyal hai ki badal gaye hum..............
TERI YADO SE NA KOI SANS KHALI JAYE, ZINDGI ITNI HASIN Q NA BANALI JAYE, ITNI SHIDAT SE NA KAR BHUL JANEKA SAWAL, YE NA HO K TERI YE BAAT B NA TALI JAYE
Tera dard hai ki ro bhi nahi paa rahe hain,
Hosh-gum hain, nahi jaante kahan jaa rahe hain,
Humne to tumhare bina duniya bhi nahi dekhi,
Aaj saari duniya mein khud ko tanha nazar aa rahe hain
kabi phool kabhi hawa banker chhu jayenge
hum to dur reh ker bhi sath nibha jayenge
kabhi tanhai me yaad karna hume
hasi ban ker hoton pe khil jayenge.
narazgi ka sila to phuchh liya kro
duriyan lakh ho yaad to ker liya karo
mat rakho beshak her pal ki khaber
zinda hain ya mar gaye ye to jaan liya karo.
Konsa Zakhm Tha Jo Taro Taza Na Tha,
Zindagi Me Itne Gham Thay K Andaza Na Tha,
Un Ki Jheel c Ankhon Ka Is Me Kiya Qasur
Dubne Walon Ko Gehrai Ka Andza Na Tha.
wo yaaroon ki mehfil, wo muskurate pal, dil se juda hai apna bita hua kal. Kabhi zindagi guzarti thi hasne hasane me, aaj waqt gujarata hai kagaz ke tukde kamane me.
Unke hotho pe sirf humara naam hai, Lekin zubaan kuch aur hi kehti hai….., Unke khayaloan mein sirf humara chehra hai, Lekin tasveer kuch aur hi kehti hai……, Na jaane yeh kaisi kashish hai, Who humme dil mein basaana chahte hai, Lekin hum hi se anjaan rehti hai…..!!
Tot ker chaha jisy wo lot ker aya nahi.
Mere dil ko us k siwa aur koi bhaya nahi.
pyar ki sodagri mein hum barabar hi rahy.
Us ne kuch khoya nahi aur hum ne kuch paya nahi.
dil chahat ka diya jala ker bhuja gaya koi
mujhe apna bana ker kho gaya koi
ye derd kiya hota hai maloom na tha
hume dard ka rasta dikha ker chhup gaya koi.
Tum is tarah cha gaye ho dil per
Ki tumhe paya hi nahi par khone se dar lagta hai
Tum kahin sapne me bhi hamse bichad na jao
Yahi soch kar hame sone se dar lagta hai
Teri tasveer jo bas gayi hai in ankhon me
tum kahin ashkon ke raste chali na jao, isliye rone se dar lagta hai.
thukra ke usne hume kaha ki muskurao
hum hus diye aakhir sawal unki khushi ka tha
humne khoya wo jo hamara tha hi nahi
usne khoya wo jo sirf usi ka tha.
INSAAN JAB IS JAHAN MEIN AYA USKE PASS GAM THA
AUR JAB IS JAHAN SE GAYA TAU USKE PASS GAM THA
KHUSHI USNE JIS LAMHE KO SAMAJHA, E YARAB
DAR-ASAL TAB USKE GAM KA EHSAS KAM THA