Duniya mein aisa phool nahin jis mein khushboo na ho
Aisa sitaara nahin jis mein roshni na ho
Hamari zindagi mein aisa ek pal nahin
Jis mein “A” aap ki yaad na ho Tumhain Dil Main Basaye Rakhta Hoon,
Aur Duniya Ko Bhulaye Rakhta Hoon
Tumhe Meri Nazar Na Lag Jaye
Apni Nazar Jhukaye Rakhta Hun
bhatak rahe the anjan si rahon par,
akele hi ek paimane ke saath,
mile ek ajnabi se jisne thama humara haath,
tab lage ke khushkismati se hui humari mulakat.
Aankhein band kar ke rota hu to lagta hai tujhe mein roya nahi.
Sadiyon tak jaaga hu mein; tere intzar mein soya nahi.
Pyar mein paaya kya hai yeh mujhe maalum nahi hai,
Per tere siva zindgi mai meine kisis bhi cheese ko khoya nahi.
Soorat Uski Khayalon Se Kyun Nahin Jaati,
Neend Hai Aankhon Me Magar Kyun Nahi Aati,
Wo Saath Thi To Maut Ka Khauf Tha Mujhko,
Ab Main Tanha Hun To Maut Kyun Nahin Aati..!
Duaaon Par Humari Aitbaar Rakhna,
Dil Men Apne Na Koi Sawaal Rakhna,
Dena Chaahte Ho Agar Khushiya Hamen,
To Bas AAP Khush Rehna Aur Apna Khayaal Rakhna
garmiya hasrate nakam se jal jate hai
ham chirago ki tarhah shyam se jal jate hai
shama jis aag me jalti hai numaes ke liye
ham usi aag me gumnam se jal jate hai
jab bhi aata hai tera nam mere nam ke sath
jane qu log mere nam se jal jate hai
Ye be khudi ye labon ki hansi mubarak ho, Tumhe ye salgirah ki khushi mubarak ho
Kabhi na aye koi gham kareeb tumhare, Jahan main sabse ache hon naseeb tumhare
Khaloos aur pyar bhari dosti mubarak ho, Tumhe ye salgirah ki khushi mubarak ho
Ajnabi Log Bhi Dene Lage Hai Ilzaam Mujhe,
Na Jane Kahan Le Jayegi Teri Pehchan Mujhe,
Bhulana Chahu Bhi To Tumhe Bhulau Kaise,
Log Bulate Hai Mujhe Tera Naam Leke.
Waqt Ki Aanch Mein Patthar Pighal Jaate Hain,
Khushi Ke Lamhe Gam Me Badal Jaate Hain,
Kyun Karega Hum Ko Yaad Koi,
Waqt Ke Saath Khayalat Badal Jaate Hain.
tamanna hai labon ko chum lun saanson mein bas jau,
tu ho meri aaghosh mein main teri dhadkano mein bas jau,
nahi dhadka tera jo dil use aa kar main dhadkau itni ijazat do,
kar saku didaar mera kar saku pyaar tujhe itni ijazat do.
Bikhri si inn zulfo ko tu apni ungliyo se aake savaar le
Mere khwaab mein aa ke mere saath yeh tanha raat guzaar le
Hota nahin ab inn meethi yaadon se mera guzaara
Marr na jaau kahin iss se pehle mujhe dil se pukaar le
ghar se jab mai nikla dil me bade arman the, ek taraf haddiya to ek taraf shamshan the ,raah me kisi haddi se pair takraya to haddi ke bhi yahi jawab the ,ay bhai jara dekh ke chalo hum bhi kabhi insaan the.
Ishq ne insaan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko paagal to kisi ko deewana bana diya,
Do phool ka wajan nahi utha paati thi Mumtaaz,
Shahjahan ne us par Taaz Mahal bana diya,
Pasand Hai Soorat Hume Laakhon Men Unki,
Koi JaaduTo Hai Zaroor Aankhon Men Unki,
Ghayal Dil Ki Baaton Ko Wo Jaane Ya Na Jaane,
Humne To Bitaya Hai Pal Pal Yaadon Men Unki!
Yadein Teri Rakh Di Hai Sambhal Kar
Door Kahin Is Dil Se Nikal Kar
Sab Kuch To Vapas Le Liya Hai Apne Dur Jaa Kar
In Yadon Ko Bhi Le Jana Kisi Roz Aa Kar
Ek pal mein khushiyon ka sama dekha
Duje pal gam ka gulistaan dekha
Fir hamne har pal badalta yeh jahan dekha
Aur hamne har toote dil pe ek zakhm ka nishan dekha