Zindagi bohot kuch sikhati hai, Kabhie hasati hai to kabhie rulati hai, Khud se zyada bharosa aur kisi pe mat karna, Andhere mein to parchayi bhi saath chor jati hai..
Torna nahi woh kasam jo khayi hai, Hume yaad kar leney mein kya burai hai, Yaad aap ko kiye bina raha bhi to nahi jata, Dil mein jaga aap ne aisi jo banai hai...
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti! Jab tanhai me aapki yaad aati hai, Hontho pe ek hi fariyad aati hai… Khuda aapko har khushi de, Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai..
Woh ishq jo hum us se karte the Woh ishq to zinda aaj bhi hai Tum door hue majboori main Hum toot gaye is doori main Kabhi waqt mile to aajana Khula Dil ka darwaza aaj bhi hai
Tere bagaeir kaise beetegi ye zindagee, zinda magar rahenge hum hai kaisi ye bebasee, kya jaane ab milenge bhi ya naa milenge hum, Teri magar ye aarzoo chhootegee na kabhie..
Poochkar Naam Mera Wo Pata Poochhta Hai. Har Baat Ahista-Ahista Poochhta Hai. Dekho To Aaj Mere Dil Ka Lutera, Mujhse Hi Mere Dil Ka Rasta Poochhta Hai.
Har Huner Se Nawaze Khuda Apko, Noor Kehkar Sitaron Se Sanware Khuda Apko. Dekhkar Jalwe Apke Jal Jaye Zannat Ki Hoor Bhi, Zindgi Mein Wo Hasi De Nazare Khuda Apko.
kal jab wo khud chalna chahta tha saath mere... mana karti rahi mein dekhe bina wo kinaare.... aaj fhir wo kinaare lagne lage hain pyaare.... duriyaan badi hain, nahi rahe aaj ke kinaare....
Khamosh Mahfil Ke Sab Saz Ho Gaye, Kuchh Poonchh Liya Humne Wo Naraz Ho Gaye. Ilzam Den Kise Kisko Khatawar Kahen, Jab Mere Dushman Hi Mere Alfaz Ho Gaye.
Hum Hain Ki Chiragon Ko Jalane Mein Lage Hain, Wo Hain Ki Chiragon Ko Bujhane Mein Lage Hain. Humne Sitam Unke Seene Mein Rakhkhe Hain Saja Ke, Wo Hain Ki Meri Yaadon Ko Mitane Mein Lage Hain.
Kisi Ne Ashiq, Kisi Ne Shayar Bana Diya, Sharabi Kisi Ne Maykadon Mein Lakar Bana Diya. Yun To Mere Dil Ko Log Khander Kaha Karte The, Lekin Kisi Ne Aaker Is Khander Ko Bhi Ghar Bana Diya.
Tere ghamon ko apni rooh mein utaar lu, Zindagi teri chahat ke rang mein sanwaar lu, Mulaqat ho tujh se is tarah, Ke tamam umar ek mulaqat mein guzar lu...
Mar Ke Bhi Bhatakta Raha Uski Galiyon Mein, Kabr Mein Na Mil Payi Meri Laash… Ta-Umar Raha Mera Patjhad Se Yaraana, Aakhir Tak Na Kar Paayi Baharein Meri Talaash.
Rehte ho aaj bhi sanson ke beech tum, Yaadon ke beech tum, kitabon ke beech tum, Jab bhi qalam uthata hoon likhne ke waste, Ban ke ghazal aa jate ho lafzon ke beech tum...