Tabeer Jo Mill Jati To Ik Khuwaab bohat tha…. Jo Shakhs Ganwa Bethi Hon Nayaab bohat Tha….. Main kaise Bacha Leti Bhala Kashti-e-Dil Ko DOST..... Darya-e-Muhabbat Main Saylaab Bohat Tha….!
Zindagi khwaab-e-parishaan hai koi kya jaane maut ki larzish-e-mishgaan hai koi kya jaane Raamish-o-rang ke aivaan mein lailaa-e-hayaat sirf aik rait ki mehmaan hai koi kya jaane
Jis tarh ranj may,ankhun may nami ka hona aisa hota hai mohbt may kisi ka hona tera sooraj k qabeley se ta'aluq to nhi? yeh kahan sy tujhy aya sabhi ka hona.
Jalakti Aankhein Teri Dil Se Yun Baatein Karti Hai, Jaise Sehrah Ka Pani Rait Se Kuch Bayaan Karta Ho. Tere Hoonto Ki Tabbasum Ki Low Jaise, Kuch Apni Talab Ki Mausiqi Bayaan Karti Ho.
Naam-E-Mohabbat Se Khushbu-E-Wafa Aati Hai, Humare Dil Se Aapke Dhadken Ki Sada Aati Hai, Jab Bhi Karte Ho Yaad Hume Dil Se, Yu Lagta Hai Jaise Jannat-E-Hawa Aati Hai.
Mauqa-E-Izhaar Aaya Hoton Ko Seene Ke Baad, Hosh Jaise Aana Chahe Raat Bhar Peene Ke Baad, Aur Honge Woh Ke Jinko Chahiye Umar-E-Daraaz, Hum To Aajiz Aa Gaye Bas Chaar Din Jeene Ke Baad.
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla.....
Kalam chalti he to dil ki awaz likhta hun. GUM or JUDAI ke andaj e baya likhta hun. RUKTE NAHI HEIN MERI AAKHON SE AANSO. MEIN JAB USKI YAD MEIN ALFAJ E BAYAN LIKHTA HUN
Guzre hue wasal ke din raat bhool ja Milne na deinge ab hamein halaat bhool ja Mausam badal gaye hain zamana guzar gaya Ae dost tu bhi eid-e-mulaqaat bhool ja.
Dil ke mausam bhi kaash kabhi badalte Kabhi patzhad toe kabhi bahaar bhi late Viraan sa raha hei yanha ka shamaa Shama-e-mehfil kaash koi yanha bhi jalate
JAZBAAT KI RAHOON MAIN RAWAAN KAR DIA MUJH KO .. IK SHAKHS KI BATOON NAY JAWAN KAR DIA MUJH KO .. KIA ASHQ BAHAYEE MERE ROODAD PAY USS NAY.. MAIN AGG KA SHOLA THEE DHOOWAN KAR DIA MUJH KO..
Meri har nazar Teri muntazir teri har nazar kisi or ki, Meri zindage teri bandagi teri zindage ksi or ki, Kabhi waqt jo mile tujhe zara aa ke dekh mere haal ko,