Zindgi Raaz H To Raaz Rehne Do, Agar H Koi Aitraaz To Aitraaz Rehne Do, Pr Agar Apka Dil Kahe Hume Yaad Karne Ko, To Dil Ko Ye Mat Kehna Ki Aaj Rehne Do.
Jo kal nhi tha wo aaj hu,khud se chupa hua ek raaz hu,jo koi khehta tha beta, use apne bachchose fursat nhi he, me kuch na mangu khuda se bus pyar ka mohtaz hu..
Kisi ko Zyada Aazmaya nahi Karte... Apno ko Kabhi Sataya Nahi Karte... Chahne Wale bhi Waqt ke Lamho ki Tarah Hote hain... Beet Jaaye to Laut ke Aaya nahi Karte..
duniya me sabhi hain ajnabi, hum hain aap ke liye ajnabi aap hain mere liye ajnabi, ye ajnabi hi ban jate hain zindgi, kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti.
Kahin par dharam bante hain, kahin par iman bante hain, Kahin par hindu,sikh,isaee to kahin muslmaan bante hain, Hamari mehfil main akar dekh "saki" yhan insan hi insan bante hain.
Yun to umar hai bahut choti si, Par har chote se lamhe ko tu ji bhar ke ji le, Khwab si is zindagi mein, Khwab aise bun, Ki leke rukhsat is jahaan se khule jab aankhein teri Tab kar khuda se saamna kabhi jhuke na teri nazar......
Ek din zindgi aisay mukam pe pohanch jaye gi, Dosti to sirf yadon main hi reh jaye gi , Hr mazak ki bat yad doston ki dilaye gi , Aur hasty hasty phir ankh num ho jaye gi , Office k room main classroom nazar ayegi , Paisa to bht hoga Mgr usey lutane ki waja hi kho jaegi
Yaadoki Safar Me Chalte Hi Rehena.. Zindegi Me Har Pal Muskurate Rehana. Mussibat Aaye To Khuda Ko Yaad Karna Or. Zindegi Me Kisiko "Kabhi Alvida Na Kehena".
Muskil iss duniya Mai Kuch bhi nahi Fhir bhi log apne iraade tod dete hai Agar sacche dil se ho chahat Kuch pane ki Toh sitare bhi apni jagah chod dete hai...
Karo kuch yun ki har mushkil ki asani nikal aaye.. Tumhari ba baja paidaish ka mani nikal ayee.. Or Kisi ko bhi rulane ka tarika main bata ta hun, Hasaaoo yun ki uski aankh se pani nikal aye..
jab tutne lage haushla, tab yad rakhna ki. bina mehnat k, takht aur taj nahi milte. dhudh lete h, jugnu andhere me bhi manjil. kyoki vo kabhi, roshni k mohtaj nahi hote.
Shayari Nasha Bhi Hai ,Ek Zajbaat Bhi Hai ? HarToote Hue Dil Ka Ek Ehasaas Bhi Hai ? Jo Samajh Sake Iske Lafzoon Ko,Uska Pyaar Bhi Hai ? Aur Jo Na Samajh Sake, Uske Liye Ek Jhootha Khwaab Bhi Hai By ... anmol arora
Har kamyabi par aap ka nam hoga, Aap ke har kadam par duniya ka salam hoga. Mushkilo ka samana himmt se karna, Dua h ek din vakt aap ka bhi gulam hoga....
Savan badho ghata suhani sab ke mn ko bahe , Ammo ke mosam mein koyal pancham sawer mein gaye , Uski sawer lahri mein Saki yead “anmol” ko aai , Jayse ki ik sajni gori geet Milan ke gay
Ek Toote Huwe Dil Ki Aawaaj Mujhe Kahiye Sur Jismein Hai Sab Ghum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye Main Kon Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye zindaa Hoon Main Khud Bhi Nahi Samajhi Woh Raaz Mujhe Kahiye.
Sara Jaha H Uska Jo Muskurana Sikh Le. Roshni H Uski Jo Shama Jalana Sikh Le. Hr Gali Me Mandir, Hr Raah Me Maszid H. Pr Ishwar H Uska Jo Sir Jhukana Sikh le.
Jindagi Ek Aisi Sougat Hoti Hai Jisme Khusi Or Gum Se Mulakat Hoti Hai Kuch Pana Hai To Gahrai Me Utarna Sikho Kinaro Se To Jindagi Ki Shuruat Hoti Hai.