Kabhi Nazrein Milane Me Zamane Beet Jaate Hain, Kabhi Nazrein Churane Me Zamane Beet Jaate Hain, Kisi Ne Aankh Bhi Kholi To Sone Ki Nagri Mein, Kisi Ko Ghar Banane Me Zamane Beet Jaate Hain, Kabhi Kaali Siyahi Raatein Hamein Ek Pal Ki Lagti... Hai, Kabhi Ek Pal Bitane Me Zamane Beet Jaate Hain
Nazron ke saath nazare badalte hai, Har aashiq ke sitare badalte hai, Yu to samandar mein kastiya bahut hai par Waqt ke saath kashti aur kinare badalte hai.
Dekha hai humane bhi aajma kar, De jate hai dhokha log karib aakar! Kahati hai duniya magar dil nhi manta, Kya aap bhi bhool jaoge hume apna Dost banakr?
Phir kahin door se ik baar sada do mujko, Meri tanhai ka ehsaas dila do mujhko, Tum to chand ho tumhe meri zaroorat kya hai, Main diya hoon kisi chaukhat pe jala do mujko.
Jaha sar juk jaye wahi khuda ka ghar hai, jaha har nadi mil jaye wahi samandar hai, is zindgi mein dard to sab dete hai, jo har dard ko samaj sake wo hi hamdard hai.
Zindgi ke pal yuhi guzar jayenge, Aindgi mein kuch khokar kuch payenge, Aaj yaha hai kal dur chale jayenge, Par wada he aap ke INBOX mein zarur ayenge.
Khushiya milti nahi mangne se, Manzil milti nahi raah par ruk jane se, Bharosa rakhana apne aap par aur us RAB par, Sab kuchh deta hai wo sahi waqt aane par.
Main bhi dariya hu mager sumander mayri manjil nahi Main bhi sumander ho gaya to mera kya reh jay ga Kel subah biker jau ga m bhi SHABNAM ki tarah kirne chun legi mujhe aur jahan dekhta reh jayega
Har haath me khanjar, Hr dil me ek chor kyun hai ? Aine k samne main hu, magar aine me koi aur kyun hai ? Insaan hain sbhi to insaniyat kyu nahi hai, Ya unme Dil nahi hai, aur hai to Itna kathor kyun ?
Kiska naam mohobbat he dil ki baichaini aankhoan me aansoo naam eska mohobbat he... Kiska naam intjaar he rahe na hosh khud ka, kisi ke liye din raat jagna naam intjar eska he...
Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta, Marne wale ke saath har koi nahi marta, Are Marne ki baat to door rahi, Yaha to zindgi hai phir b koi yaad nahi karta…
"Manzil" tum chuno, "Raste" hum denge, "khush" tum raho, "khusiyan" hum denge, bas isee tarah LAGAN aur ZUNOON Se apani"Manzl" ki taraf chalate rahoto SAPANE apke pure honge, aur Badhaiyan hum denge.