Ye tanhaiya jo saji hain tere khayalon se, In se ye subah-shaam yun hi sajti rahe. Ye akelapan jo tumse doori ka ehsas hai, Ye dooriya tere didaar ki umeed se sajti rahe
kabhi kabhi jazbaat ubhar aate hain, lafz dil se nikal k hoton me reh jate hain, kai sawal hmse karti hai tanhaiyan aise, jinke jawab me chehre pe aansu bikhar jate hain...
hum kitne pareshan hai tum kya jano, Jalte hue shamsan hai tum kya jano, Tumhe ghumne se jra bhi fursat nahi hai, Hum to kuch pal ke mehman hai tum kya jano.
tumhare pass hun per jo duri hai samjhta hun. tumhare bin meri hasti aduri hai samjhta hun. tumhein mein bhul jaaun ye mumkin nahi lekin. tumhiko bhulna jaruri hai samjhta hun.
Raftar zamane ki tez thi bahut, reh gaya main peeche udti dhool k bhanwar me, duniya nikal gayi aage manzil ko paa gyi, hme to bs dhool he mili zindagi k safar me........
Yaado me hamari woh bhi khoye honge, khuli aankho se kabhi woh bhi soye honge, mana ki hasna ada hai gum chupane ki, par haste haste kabhi woh bhi roye honge
Bada azmaya logon ne apna banakr, bade dhokhe khaye sbko apna banakr, bada tanha sa tha main apno aur begano me, ab sukoon mila ab apni tanhai k paas aakr.....
Raat dhal gayi, sitare chale gaye.. gairo se kya gila jab apne chale gaye.. jeet to sakte the ishq ki baji hum bhi.. par unko jitane ke liye hum harte chale gaye
Dil me dhadkan aur Ankhon me aansu tham jate h, jb kbhi uske is ashiyane me aate h, thaam to lete h adhero ki kapkapahat do ghadi, pr in aansuo ka kya kare jo pal bhar me bikhar jate h
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.. Sukoon dil barbaad ho jane ko hai Raaste socho ke simat jane ko hai Ye kaisa tu ne muhabbat mei faasla rakha Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai
Veeraan h mehfil meri jab se tum gye ho Bujh gyi h sari roshni jab se tum gye ho Andheron ke saaye mei h rooh meri Roshni ne chhora daaman jab se tum gye ho.
Ruk Gaya Wo Waqt Ki Nishani Ban Ke Beh Gaya Ek Din Aankh Ka Pani Ban Ke Ajeeb Kashma-kash Ban Gayi Hai Zindagi Ae Maut Tu Hi Mil Ja Ab Ishq Ki Nishani Ban Ke
Labon par baat hi aa jaye to kya kare.. Wo itna yaad aa hi jate to kya kare.. Hasrat h k ek lamha unhe jee bhar k dekhe.. Par kismat hi wo lamha na laye to kya kare
Bhul se hi sahi unhone rula diya to kya hua , zamane k kehne par bhula diya to kya hua , hum to pehle se hi gair the , unhone ehsas DILA diya to kya hua?]
Main itni door chala jawonga, tuje yaad bhi na awonga. Ye baat hai or jaanam ke, tuje mai bhool na payounga. Tumse hi thi meri zindegi, lekin ye kya huwa. Tum bin vi mai zee raha houn, mai kaisa houn bewafa.
Unhe majboor kyu karen k jab unhe pyar he nahi, wafa par hamari unko aitbar he nahi, wo mante hain shayad kisi aur ko apna. magar us apne pe bhi unko aitbar he nahi .......
Likhun kya us dard ko ho hothon se bayaan nahi kar sakta, dikhlaun kya us jakhm ko jo jism pe bana nahi sakta…. Vishwaas nahi hai aapko mujhpe aaj bhi, ab batlaun kya us baatko jise jabaan pe nahi la sakta…..