hakeekat jan lo bichad janay se pehle hamari sun lo apni sunanay se pehle soch lo lekin dur janay se pehle ke yeh ankhey bohot royi muskuranay se pehle.
Tum Manatey Ho Aaj Jashn E Kamyabi, Esme Shamil Har Qatra Mere Lahu Ka He, Aaj Yaha Siskta He Pyar Mera O Beqadar, Tere Jam Me Har Katra Mere Aasuo Ka He,
Rab chahe de do jitne bhi hume gum Rab chahe kar lo kuch khushiyaan bhi humari kum Rab chahe dalo is dil pe kitne bhi sitam Par bas unka pyar nasib ho de do ye kasam.
Har zakhm ko seene mein liye firte hai Har dard dil mein diye banke jalte hai Har alfaz mein gum ka andhera hai Aur raat ke baad bhi na yaha savera hai.
Taras gayi hain nigahen wo nazar toh aa jaye Mujhe na miley meri taraf toh aa jaye Main uski yaad ko dil se nikal dun lekin Kisi tarha mujhe ye hunar toh aa jaye.
Dil ka tootna toh ek bahana tha Rab ko toh apna badla chukana tha Toote ya toda jaye dil ko na hoga koi asar Hum yuhi chalte rahenge chahe kabhi ho na seher.
Sab Apne Hain Fir Bhi Ek Kami Si Rehti Hai Hontho Pe Hasi Aankho Mein Nami Si Rehti Hai Kaise Bhula De Un Chahat Ke Lamho Ko Hum Jiske Hontho Pe Hasi Sirf Hami Se Rehti Hai.
Rishton ki bheed mein woh gumnaam reh gaya Jaane kya kya dilkash sher woh mujhse keh gaya Aaya na laut kar woh phir kabhi is mod par Aansu ki tarha aankhon se nikal kar beh gaya!
Aaj mai hun aur meri tanhaayi Jaane kab se hai saath mere Pata hai usse saare raaz mere Yun to guzarte the subha-o-shaam mere rehguzar me uski Tohfe de kar maine phoolo ke, paayi hai ye saugaat usski.
KHWABON MEIN KOI AAKAR YAADEIN HAZAAR DE GAYA MILKE BICHHAD GAYA KOI PAR YE ILTEZAA DE GAYA AAJ WO MUJHSE DOOR HAI PAR DIL KE KAREEB HAI BANKE WO EK AJNABI SAPNON KA PYAAR DE GAYA.
Ek harf tasalli ka, ek lafz mohabbat ka khud apne liye usne likha to bahut roya pehle bhi shikaston pe khai thi shikast usne lekin wo tere haathon haara to bahut roya.
SAMANDAR PEER KE ANDAR HAI LEKIN RO NAHI SAKTA YE AANSOO PYAR KA MOTI HAI ISS KO KHO NAHI SAKTA MERI CHAHAT KO TU APNA BANA LENA PAR SUNLE JO MERA HO NAHI PAYA WO TERA HO NAHI SAKTA.
Are main to jaankar bhi tujh jaise patthar se takra jaaunga Tumse takra kar apne aap ko shishe sa bikhra jaaunga Mana ki patthar hoon ghayal to nahi kar sakta aapko Par fir bhi yakin hai thode bahut nishan to bana jaaunga.
Zindgi ko tanha Virano me rehne do. . Ye wafa ki bate Khyalo me rhne do, . Hakikat me aazmane se tut jate h Dil Aksr, . Ye ishq Mohabbat ki baate kitabo me hi Rehne do.
Kabhi hamne unhe nahi samja to kabhi wo hame samjh nahi paye pyar ki rahon mein the gardishon ke saye unse bichhadkar hum tadpte rahe kabhi hamne nahi bulaya to kabhi wo nahi aaye.