ahat si koi aaye tou lagta hai tum ho jab koi bander peirr per charh jaye tou lagta hai tum ho ahat si koi aaye tou lagta hai tum ho jab koi gadha chillata hua nazar aa jaye tou lagta hai tum ho
Aankhon Se Jhalakta Tha Kuch Is Tarah Ka Pyaar Bin Piye Hi Ho Jata Tha Alcohol Ka Khumar Benzene Sa Hota Tha Uski Presence Ka Ehsas Andhere Mein Hota Tha Radium Ka Abhas
Mohabbat ke anjaam se darr rahein hain, Nighaon main aapni khoon bhar rahein hain , Meri Jaan ko le udda hai koi, Aur ham yahi bethe hue sher o shayari kar rahein hain.
Yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya, yeh insaan ke dushman, cursors ki duniya yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya; yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?
Yahaan ek khilona hai programmer ki hasti ye basti hai murda bug-fixers ki basti yahaan par to raises hai, inflation se sasti yeh Review agar ho bhi jaaye to kya hai?
Har ek keyboard ghayal, har ek login pyaasi excel mein uljhan, winword mein udaasi yeh office hai ya aalame microsoft ki yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?
unhone ghoonghat jo uthaya din me raat ho gayi, pyaar ki sunahri dhoop ki jagah barsaat ho gayi, armaano pe mere petrol tab fir gaya, jab shaadi k din hi wo kisi aur k saath faraar ho gayi
Jalaa do ise, phoonk daalo yeh monitor mere saamne se hataa daalo yeh modem tumhaara hai tumhi sambhaalo yeh computer yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?
Teri her ek adaa ke hum kayal ho gaye, teri tirchi nazar se jo hum ghayal ho gaye, sach jana jab humne ki nazar he tirchi hai teri, to laga aisa jhtka ki hum pagal ho gaye