Nanhi bachi- “Dadiji, kya aap acting bhi karti hai?” Dadi- “Nahi to, lekin kyo?” Bachi- “Subah maa pitaji se kah rahi thi ki yadi aap yaha rahi to drama to jaroor hoga”
Maa- “Itne dino se tum apne premi ke saath ghoom rahi ho, vah shaadi ke liye kuch nahi bolta, aakhir vah chahta kya hai?” Beti- “Pata nahi maa, jyada samay vah mujhe andhere me hi rakhta hai”
Bus Driver Ramu ko apni seat par baitha dekhkar bola- “Are, utho shaitaan, meri seat par kyo baitha hai?” Ramu- “Driver uncle, mai sabse pehle aaya tha”
Jigyasu bache ne poocha- “Mummy, aap papa ko kaha mili?” Maa- “Ek picnic me” Bacha- “Kya mai aapke saath tha?” Maa- ‘Nahi, jab gayi thi to tum nahi the, lekin jab mai lauti to tum saath aaye the
Patni- shadi se pahle aap roj gift dete they,par ab nahi dete,kyu? Pati: kabhi tumne machuware ko machli pakadne ke baad usey dana dalte dekha hai kya?
Adhyapak- “Kya tum kisi badi ladai ke baare me jaante ho? Ramesh- “Ji haan, lekin baat yah hai ki mummy ne ghar ki baate baahar batane se mana kiya hai”
Master- “Rakesh, suna hai, tumhare ghar me naya baby aaya hai?” Rakesh- “Ji, naya kyo kehte hai aap? Jab rota hai to aisa lagta hai ki barso se rona seekhta raha hai
Maa- “Rinku, tum bure bacho ke saath kyo khelte ho, ache bacho ke saath kyo nahi khelte?” Rinku- “Maa, un ache bacho ki maatao ne apne bacho ko mere saath khelne se mana kar diya hai”
Ek Chote ladke ne apne adhyapak ko chunauti dete huye poocha- “Agar George Washington sachmuch ek imaandaar vyakti the, to unke janamdin par banko ko kyo band rakha jaata hai?”
Santa- “Ab mai kisi ladki ke saamne shaadi ki baat nahi rakhunga” Banta- “Kyo… Kya phir kisi ne mana kar diya?” Santa- “Nahi yaar, ek ladki ne sweekar kar liya hai”
1 Ghar mein TWINS paida huwe to saas ne kaha: mubarik ho! bhala bataao.. hmare pakistan k halat daikh kar bache bhi dunia mein akele ane se darte hain.
BHIKARI-maine ek kitab likhi hai jiska naam hai paise kamane ke sau tarike. Raahgir-to phir bhik kyon maang rahe ho BHIKARI- YE UN SAU TARIKO ME SABSE AASAN TARIKA HAI.
Bachi ko jor-jor se roti dekhkar maa ne poocha- “kyo roti ho?” Bachi- “Bhaiya ne meri gudiya tod di” Maa- “Kaise? Kaise tod di?” Bachi- “Maine gudiya uske sir par maari thi?”
Ek Maa boli- “Galiyo me khel-khelkar bache kitne gande ho jaate hai” Doosri Maa- “Haan, behanji Ab dekho na, das bacho ke muh dhone pade, tab kahi jaakar mai apne guddu ko pehchaan payi
Seeta- “Behan, bartan saaf karne ke liye sabse achi kaun-si cheej hai?” Geeta- “Maine bartan saaf karne ke liye bahut-si cheeje istmaal ki, par pati se acha kisi ko nahi paya”