Chup Hontho ki juban ye ansoo hote h Jo chup rahte hain fir bhi behte h Aur in aasuon ki kismat to dekhiye Ye unke liye behte hain jo in ankhon mein rehte h
Teri Yaad Mai Ansoo Ka Samandar Bana Liya,Tanhai Ke Shehar Main Apna Ghar Banaa Liya Na Toot-tha Dil Hamara,Suna Tha Log Pujthe Hai Pathar Ko Es Liye Patthar Sa Dil Ko,Sheeshe Ka Banaa Liya
Badnaam mera naam bohot der se hua hona tha jo kaam jald bohot der se hua dil main utar gaya woh pahli mulaqat main magar mujh se hum kalaam bohot der se hua.
Tumhara nam likhnay ki ijazat chin gai jab se koi b lafz likhta hu to ankhe bheeg jati h Hazaron mausmon ki hukmarani hae meray dil par main jab b tanhha hon tou aankhain bheeg jati hai
Yeh Ada Hai, Koi Gila Nahi Meri Humsafar, Meri Zindagi Main Yeh Sochta Hoon Ke khuda Kare Tujhe Zindagi Me Woh Sukh Mile Jo Mujhe Zindagi Me Kabhi Mila Nahi
Kab Howi pyar ki Barsat Mujhe Yaad Nahi Khof mein doobi mulaqat Mujhe Yaad Nahi Mai to Madhosh tha kuch itna Uski Chahat Mein Us Ne Kab Chorr Diya Sath Mujhe Yaad Nahi.
Mere dil ko todakar tum jaaoge jaha, Meri baate yaad tumako aayegi wahaa, Main to apna samajhkar tumhe maaf kar dunga, Magar maaf na karega tumako ye jahaan.
Apne khwaabon khyaalon me tujhe paaya hamane, Tere pyaar me khud ko mitaya hamane, Suna hai andhero se bahut ghabraate ho tum, Roshani ke liye apne dil ko jalaya hamne
dard ki daastaan abhi baaki hai, mohaabaat ka imtehaan abhi baaki hai, dil kare to fir wafa karne aa jaana, dil hi to toota hai jaan abhi baaki hai.........
Wo mere the wo mere ho n paye, aankhon m Aansu the par hum ro na paye,1 roz usne kaha Hum milenge khwabo m, Or Meri kismat dekho usi Raat hum so na paye.
Ansu Ho Jo Tere Daman Mein To Unhe Ankhon Tak Na Lana Alfazon Ki Shyahi Se Unhen Hm Tak Pahuchana Sambhalega Yh Sagar Teri Ankh Ke Hr moti Ko Kuch Is Tarah Ki Banjaye Hr Moti meri zindagi Ka Khazana
dard hasi main bhi hota hai koi ro kar samjhaye ye jaruri to nahi, . . .samajh lena chahiye lafjo ka takaja, . . . koi dil cheer ke dikhaye ye jaruri to nahi
duniya ko is ka chehrah dhikhana padha mujhe, pardah jo darmiyaan tha haathana padha mujhe, ruswaiyon ka khauf se mehfil mein aaj, phir is bewafa se haath milana padha mujhe
kya zamana tha ki hum roj mila karte the, raat bhar chaand k humraj phira karte the, dekh ke jo hume chupke se gujar jate hai, kabhi use hum pyar kiya karte the